الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الْأَطْعِمَةِ
The Book of Foods (Meals)
بَابُ الْقَدِيدِ:
Chapter. Cured meat.
Hadith Number: 5437
حدثنا ابو نعيم، حدثنا مالك بن انس، عن إسحاق بن عبد الله، عن انس رضي الله عنه، قال:" رايت النبي صلى الله عليه وسلم اتي بمرقة فيها دباء وقديد فرايته يتتبع الدباء ياكلها".
Hum se Hakeem Abu Nuaym ne bayan kiya , kaha hum se Malik bin Anas ne , in se Ishaq bin Abdullah ne aur in se Anas razi Allahu anhu ne bayan kiya ke main ne dekha ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein shorba laya gaya . Is mein kaddu aur sookhe gosht ke tukre thay , phir main ne dekha ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam is mein se kaddu ke qatlay talash kar kar ke kha rahe thay .
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5438
حدثنا قبيصة، حدثنا سفيان، عن عبد الرحمن بن عابس، عن ابيه، عن عائشة رضي الله عنها، قالت:" ما فعله إلا في عام جاع الناس اراد ان يطعم الغني الفقير، وإن كنا لنرفع الكراع بعد خمس عشرة وما شبع آل محمد صلى الله عليه وسلم من خبز بر مادوم ثلاثا".
Hum se Qubaysah ne bayan kiya , in se Sufyan ne bayan kiya , in se Abdur Rahman bin Aabis ne , in se un ke walid ne aur in se Aisha razi Allahu anha ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne aisa kabhi nahi kiya ke teen din se zyada gosht qurbani wala rakhne se mana farmaya ho . Sirf is saal yeh hukm diya tha jis saal qahet ki wajah se log faqay mein mubtala thay . Maqsad yeh tha ke jo log ghani hain woh gosht muhtajon ko khilayein (aur jama kar ke na rakhein) aur hum to bakri ke paye mahfooz kar ke rakh lete thay aur pandrah din baad tak (khate thay) aur Aal e Muhammad salla Allahu alaihi wasallam ne kabhi salan ke saath gehoon ki roti teen din tak barabar sair ho kar nahi khayi .
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة