Join Whatsapp Channel
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب النَّفَقَاتِ
The Book of Provision (Outlay)
بَابٌ:
Chapter.
Show diacritics
Hadith Number: Q5359
وقال يونس: عن الزهري،" نهى الله ان تضار والدة بولدها وذلك ان تقول الوالدة لست مرضعته وهي امثل له غذاء واشفق عليه وارفق به من غيرها، فليس لها ان تابى بعد ان يعطيها من نفسه ما جعل الله عليه وليس للمولود له ان يضار بولده والدته، فيمنعها ان ترضعه ضرارا لها إلى غيرها فلا جناح عليهما ان يسترضعا عن طيب نفس الوالد والوالدة، فإن ارادا فصالا عن تراض منهما وتشاور فلا جناح عليهما بعد ان يكون ذلك عن تراض منهما وتشاور فصاله فطامه".
Aur Allah Ta'ala ka farman «wal-waalidaatu yurdi'na auladahunna haulayni kaamilayni liman araada ay-yutimmar-rada-ata» aur maayein apne bachon ko doodh pilayein poore do saal (yeh muddat) is ke liye hai jo doodh ki muddat poori karna chahe . Se irshad «bima ta'maloona baseer-un» tak . Aur Surah al-Ahqaf mein farmaya «wa hamluhu wa fisaaluhu salaasoona shahran» aur is ka hamal aur is ka doodh chhorna tees mahinon mein hota hai . Aur Surah at-Talaq mein farmaya «wa in ta'aasartum fasaturdi'u lahu ukhra * liyunfiq zhoo sa'atim min sa'atihi wa man qudira alayhi rizquhu» ke aur agar tum miyan biwi aapas mein zidd karo ge to bache ko doodh koi doosri aurat pilaye gi . Wusat wale ko kharch doodh pilane ke liye apni wusat ke mutabiq karna chahiye aur jis ki amdani kam ho usay chahiye ke usay Allah ne jitna diya ho is mein kharch kare . Allah Ta'ala ke irshad «ba'da usrin yusran» tak aur Yunus ne Zuhri se byaan kiya ke Allah Ta'ala ne is se mana kiya hai ke maan is ke bache ki wajah se baap ko takleef pahunchaye aur is ki surat yeh hai maslan ke maan keh de ke main isay doodh nahi pilaoon gi haalan ke is ki ghiza bache ke zyada muwafiq hai . Woh bache par zyada meherban hoti hai aur doosre ke muqabla mein bache ke saath woh zyada lutf o narmi kar sakti hai . Is liye is ke liye jaiz nahi ke woh bache ko doodh pilane se is waqt bhi inkar kar de jabke bache ka walid usay (naan nafaqa mein) apni taraf se woh sab kuch dene ko tayyar ho jo Allah ne is par farz kiya hai . Isi tarah farmaya ke baap apne bache ki wajah se maan ko nuqsan na pahunchaye . Is ki surat yeh hai maslan baap maan ko doodh pilane se roke aur khwah-makhwah kisi doosri aurat ko doodh pilane ke liye muqarrar kare . Albatta agar maan aur baap apni khushi se kisi doosri aurat ko doodh pilane ke liye muqarrar karein to donon par kuch gunah na ho ga aur agar woh walid aur walda donon apni raza-mandi aur mashwara se bache ka doodh chhrana chahein to phir un par kuch gunah na ho ga (go abhi muddat e rukhsat baqi ho) «fisaalun» ke maani doodh chhorana .