الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب النِّكَاحِ
The Book of (The Wedlock)
بَابُ نِكَاحِ الأَبْكَارِ:
Chapter. To marry virgins.
Hadith Number: Q5077
وقال ابن ابي مليكة: قال ابن عباس لعائشة:" لم ينكح النبي صلى الله عليه وسلم بكرا غيرك".
Aur Ibn Abi Mulaika ne bayan kiya ke Ibn Abbas Radi Allahu Anhuma ne Aisha Radi Allahu Anha se kaha ke aap ke siwa Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne kisi kanwari larki se nikah nahi kiya.
Hadith Number: 5077
حدثنا إسماعيل بن عبد الله، قال: حدثني اخي، عن سليمان، عن هشام بن عروة، عن ابيه، عن عائشة رضي الله عنها، قالت: قلت:" يا رسول الله، ارايت لو نزلت واديا وفيه شجرة قد اكل منها، ووجدت شجرا لم يؤكل منها، في ايها كنت ترتع بعيرك؟ قال: في الذي لم يرتع منها، تعني ان رسول الله صلى الله عليه وسلم لم يتزوج بكرا غيرها".
`Hum se Ismail bin Abdullah ne bayan kiya, kaha ke mujh se mere bhai Abdul Hameed ne bayan kiya, un se Sulaiman bin Bilal ne, un se Hisham bin Urwa ne, un se un ke walid ne aur un se Aisha Radi Allahu Anha ne bayan kiya ke mein ne arz kiya: ya Rasul Allah! farmaiye agar Aap kisi wadi mein utrein aur is mein ek darakht aisa ho jis mein oont char gaye hon aur ek darakht aisa ho jis mein se kuch bhi na khaya gaya ho to Aap apna oont in darakhton mein se kis darakht mein churayein ge? Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ke is darakht mein jis mein se abhi churaya nahi gaya ho. Un ka ishara is taraf tha ke Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne un ke siwa kisi kanwari larki se nikah nahi kiya.
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5078
حدثنا عبيد بن إسماعيل، حدثنا ابو اسامة، عن هشام، عن ابيه، عن عائشة، قالت: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:"اريتك في المنام مرتين إذا رجل يحملك في سرقة حرير، فيقول: هذه امراتك فاكشفها، فإذا هي انت، فاقول: إن يكن هذا من عند الله يمضه".
`Hum se Ubaid bin Ismail ne bayan kiya, kaha hum se Usama ne bayan kiya, un se Hisham bin Urwa ne, un se un ke walid ne aur un se Aisha Radi Allahu Anha ne bayan kiya ke Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ke ay Aisha! mujhe khwab mein do martaba tum dikhayi gayeen. Ek shakhs (Jibrail) tumhari surat hareer ke ek tukre mein uthaye hue hai aur kehta hai ke yeh Aap ki biwi hai mein ne jo is kapre ko khola to is mein tum theen. Mein ne khayal kiya ke agar yeh khwab Allah ki taraf se hai to wo ise zaroor poora kar ke rahe ga.
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة