الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب تَفْسِيرِ الْقُرْآنِ
The Book of Commentary
بَابٌ:
Chapter.
Show diacritics
Hadith Number: 4930
حدثني محمود، حدثنا عبيد الله، عن إسرائيل، عن منصور، عن إبراهيم، عن علقمة، عن عبد الله رضي الله عنه، قال:" كنا مع رسول الله صلى الله عليه وسلم وانزلت عليه والمرسلات وإنا لنتلقاها من فيه، فخرجت حية فابتدرناها، فسبقتنا، فدخلت جحرها، فقال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" وقيت شركم كما وقيتم شرها".
Hum se Mahmood ne byaan kiya, kaha hum se Ubaydullah ne byaan kiya, un se Israeel ne, un se Mansoor ne, un se Ibrahim ne, un se Alqamah ne aur un se Abdullah bin Masood razi Allahu anhu ne byaan kiya ke hum Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ke saath thay aur Aap par Surah wal-Mursalat nazil hui thi aur hum is ko Aap ke munh se seekh rahe thay ke itne mein ek saanp nikal aaya. Hum log is ke maarne ko barhay lekin woh bach nikla aur apne surakh mein ghus gaya. Is par Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke woh tumhare shar se bach gaya aur tum is ke shar se bach gaye.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 4931
Hum se Abdah bin Abdullah Khuzai ne byaan kiya, kaha hum ko Yahya bin Adam ne khabar di, unhein Israeel ne, unhein Mansoor ne yahi hadees aur Israeel ne is hadees ko Aamash se, unhon ne Ibrahim se, unhon ne Alqamah se, unhon ne Abdullah bin Masood razi Allahu anhu se bhi riwayat kiya hai aur Yahya bin Adam ke saath is hadees ko Aswad bin Aamir ne Israeel se riwayat ki aur Hafs bin Ghiyas aur Abu Muawiyah aur Sulayman bin Qaram ne Aamash se, unhon ne Ibrahim se, unhon ne Aswad se riwayat kiya aur Yahya bin Hammad (Shaykh Bukhari) ne kaha hum ko Abu Awanah ne khabar di, unhon ne Mugheerah bin Miqsam se, unhon ne Ibrahim se, unhon ne Alqamah se, unhon ne Abdullah bin Masood se aur Muhammad bin Ishaq ne is hadees ko Abdur Rahman bin Aswad se riwayat kiya, unhon ne apne walid Aswad se, unhon ne Abdullah bin Masood se byaan kiya.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 4931M
حدثنا قتيبة، حدثنا جرير، عن الاعمش، عن إبراهيم، عن الاسود، قال: قال عبد الله: بينا نحن مع رسول الله صلى الله عليه وسلم في غار، إذ نزلت عليه والمرسلات فتلقيناها من فيه وإن فاه لرطب بها، إذ خرجت حية، فقال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" عليكم اقتلوها"، قال: فابتدرناها فسبقتنا، قال: فقال:" وقيت شركم كما وقيتم شرها".
Hum se Qutaybah bin Saeed ne byaan kiya, kaha hum se Jareer ne byaan kiya, un se Aamash ne, un se Ibrahim ne, un se Aswad ne byaan kiya aur un se Abdullah bin Masood razi Allahu anhu ne byaan kiya ke hum Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ke saath ek ghaar mein thay ke Aap par Surah wal-Mursalat nazil hui. Hum ne usay Aap ke munh se yaad kar liya. Is wahi se Aap ke dahan e mubarak ki tazgi abhi khatam nahi hui thi ke itne mein ek saanp nikal para. Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya usay zinda na chhoro. Byaan kiya ke hum is ki taraf barhay lekin woh nikal gaya. Is par Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke tum is ke shar se bach gaye aur woh tumhare shar se bach gaya.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain