الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب تَفْسِيرِ الْقُرْآنِ
The Book of Commentary
بَابُ قَوْلِهِ: {وَرَبَّكَ فَكَبِّرْ}:
Chapter. The Statement of Allah:“And magnify your Lord (Allah)!”(V.74:3)
Show diacritics
Hadith Number: 4924
حدثنا إسحاق بن منصور، حدثنا عبد الصمد، حدثنا حرب، حدثنا يحيى، قال: سالت ابا سلمة اي القرآن انزل اول، فقال: يايها المدثر سورة المدثر آية 1، فقلت: انبئت انه اقرا باسم ربك الذي خلق سورة العلق آية 1، فقال ابو سلمة: سالت جابر بن عبد الله اي القرآن انزل اول، فقال: يايها المدثر سورة المدثر آية 1، فقلت: انبئت انه اقرا باسم ربك الذي خلق سورة العلق آية 1، فقال: لا اخبرك إلا بما قال رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" جاورت في حراء فلما قضيت جواري هبطت، فاستبطنت الوادي، فنوديت فنظرت امامي وخلفي، وعن يميني وعن شمالي، فإذا هو جالس على كرسي بين السماء والارض، فاتيت خديجة، فقلت: دثروني وصبوا علي ماء باردا، وانزل علي يايها المدثر {1} قم فانذر {2} وربك فكبر {3} سورة المدثر آية 1-3.
Hum se Ishaq bin Mansoor ne byaan kiya, kaha hum se Abdus Samad ne byaan kiya, kaha hum se Harb ne byaan kiya ke hum se Yahya ne byaan kiya, kaha ke main ne Abu Salamah se poocha ke Quran Majeed ki kaun si aayat sab se pehle nazil hui thi? Farmaya ke «ya ayyuhal muddasshiru» main ne kaha ke mujhe khabar mili hai ke «iqra bismi rabbikallazhi khalaqa» sab se pehle nazil hui thi. Abu Salamah ne byaan kiya ke main ne Jabir bin Abdullah razi Allahu anhuma se poocha tha ke Quran ki kaun si aayat sab se pehle nazil hui thi? Unhon ne farmaya ke «ya ayyuhal muddasshiru» ”Ae kapre mein liptne wale!“ Main ne un se yahi kaha tha ke mujhe khabar mili hai ke «iqra bismi rabbika» sab se pehle nazil hui thi to unhon ne kaha ke main tumhein wahi khabar de raha hoon jo main ne Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam se suni hai. Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke main ne Ghaar e Hira mein tanhayi ikhtiyar ki jab main woh muddat poori kar chuka aur neeche utar kar wadi ke beech mein pahuncha to mujhe pukara gaya. Main ne apne aage peeche dayein bayein dekha aur mujhe dikhayi diya ke farishta aasman aur zameen ke darmiyan kursi par baitha hai. Phir main Khadija (razi Allahu anha) ke paas aaya aur un se kaha ke mujhe kapra orha do aur mere oopar thanda pani daalo aur mujh par yeh aayat nazil hui «ya ayyuhal muddasshiru * qum fa-anzhir * wa rabbaka fakabbir» ”Ae kapre mein liptne wale! Uth-iye phir logon ko azab e aakhirat se drayiye aur apne Parvardigar ki barayi kijiye.“


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain