الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب تَفْسِيرِ الْقُرْآنِ
The Book of Commentary
بَابٌ:
Chapter.
Hadith Number: 4922
حدثنا يحيى، حدثنا وكيع، عن علي بن المبارك، عن يحيى بن ابي كثير، سالت ابا سلمة بن عبد الرحمن، عن اول ما نزل من القرآن، قال: يايها المدثر سورة المدثر آية 1، قلت: يقولون: اقرا باسم ربك الذي خلق سورة العلق آية 1، فقال ابو سلمة: سالت جابر بن عبد الله رضي الله عن ذلك، وقلت له مثل الذي قلت، فقال جابر: لا احدثك إلا ما حدثنا رسول الله صلى الله عليه وسلم قال:" جاورت بحراء، فلما قضيت جواري هبطت، فنوديت، فنظرت عن يميني فلم ار شيئا، ونظرت عن شمالي فلم ار شيئا، ونظرت امامي فلم ار شيئا، ونظرت خلفي فلم ار شيئا، فرفعت راسي فرايت شيئا، فاتيت خديجة، فقلت: دثروني وصبوا علي ماء باردا، قال: فدثروني وصبوا علي ماء باردا، قال: فنزلت يايها المدثر {1} قم فانذر {2} وربك فكبر {3} سورة المدثر آية 1-3".
Hum se Yahya ne byaan kiya, kaha hum se Waki ne byaan kiya, un se Ali bin Mubarak ne byaan kiya, un se Yahya bin Abi Kaseer ne, unhon ne Abu Salamah bin Abdur Rahman se poocha ke Quran Majeed ki kaun si aayat sab se pehle nazil hui thi. Unhon ne kaha ke «ya ayyuhal muddasshiru» main ne arz kiya ke log to kehte hain ke «iqra bismi rabbikallazhi khalaqa» sab se pehle nazil hui. Abu Salamah ne is par kaha ke main ne Jabir bin Abdullah razi Allahu anhuma se poocha tha aur jo baat abhi tum ne mujh se kahi wahi main ne bhi un se kahi thi lekin Jabir razi Allahu anhu ne kaha tha ke main tum se wahi hadees byaan karta hoon jo hamain se Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne irshad farmayi thi. Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya tha ke main Ghaar e Hira mein ek muddat ke liye khilwat-nasheen tha. Jab main woh din poore kar ke pahar se utra to mujhe aawaz di gayi, main ne is aawaz par apne dayein taraf dekha lekin koi cheez nahi dikhayi di. Phir bayein taraf dekha idhar bhi koi cheez dikhayi nahi di, samne dekha idhar bhi koi cheez nahi dikhayi di. Peeche ki taraf dekha aur idhar bhi koi cheez nahi dikhayi di. Ab main ne apna sar oopar ki taraf uthaya to mujhe ek cheez dikhayi di. Phir main Khadija razi Allahu anha ke paas aaya aur un se kaha ke mujhe kapra orha do aur mujh par thanda pani daalo. Farmaya ke phir unhon ne mujhe kapra orha diya aur thanda pani mujh par bahaya. Farmaya ke phir yeh aayat nazil hui «ya ayyuhal muddasshiru * qum fa-anzhir * wa rabbaka fakabbir» yani ”Ae kapre mein liptne wale! Uth-iye phir logon ko azab e Ilahi se drayiye aur apne Parvardigar ki barayi byaan kijiye.“
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة