الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب تَفْسِيرِ الْقُرْآنِ
The Book of Commentary
بَابُ: {وَدًّا وَلاَ سُوَاعًا وَلاَ يَغُوثَ وَيَعُوقَ}:
Chapter.“Nor shall you leave Wadd nor Suwa nor Yaghuth nor Yauq nor Nasr…" (V.71:23)
Hadith Number: 4920
حدثنا إبراهيم بن موسى، اخبرنا هشام، عن ابن جريج، وقال عطاء: عن ابن عباس رضي الله عنهما، صارت الاوثان التي كانت في قوم نوح في العرب بعد اما ود كانت لكلب بدومة الجندل، واما سواع كانت لهذيل، واما يغوث فكانت لمراد، ثم لبني غطيف بالجوف عند سبإ، واما يعوق فكانت لهمدان، واما نسر فكانت لحمير لآل ذي الكلاع، اسماء رجال صالحين من قوم نوح، فلما هلكوا اوحى الشيطان إلى قومهم ان انصبوا إلى مجالسهم التي كانوا يجلسون انصابا وسموها باسمائهم، ففعلوا فلم تعبد حتى إذا هلك اولئك، وتنسخ العلم عبدت".
Hum se Ibrahim bin Musa ne byaan kiya, unhon ne kaha hum ko Hisham ne khabar di, un se Ibn Jurayj ne aur Ata ne byaan kiya aur un se Abdullah bin Abbas razi Allahu anhuma ne byaan kiya ke jo but Nuh alaihissalam ki qaum mein pooje jate thay baad mein wahi Arab mein pooje jaane lage. Wadd Doomat-ul-Jandal mein Bani Kalb ka but thu. Suwaa'u Bani Huzayl ka. Yaghoos Bani Murad ka aur Murad ki shakh Bani Ghutayf ka jo Wadi e Ajwaf mein qaum e Saba ke paas rehte thay Ya'ooq Bani Hamdan ka but thu. Nasr Himyar ka but tha jo Zhul Kala ki aal mein se thay. Yeh paanchon Nuh alaihissalam ki qaum ke naik logon ke naam thay jab un ki maut ho gayi to Shaytan ne un ke dilli mein dala ke apni majlison mein jahan woh baithe thay un ke but qaim kar lein aur in buton ke naam apne naik logon ke naam par rakh lein chunanche in logon ne aisa hi kiya is waqt in buton ki pooja nahi hoti thi lekin jab woh log bhi mar gaye jinon ne but qaim kiye thay aur ilm logon mein na raha to un ki pooja hone lagi.
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة