الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب تَفْسِيرِ الْقُرْآنِ
The Book of Commentary
بَابُ قَوْلِهِ: {سَوَاءٌ عَلَيْهِمْ أَسْتَغْفَرْتَ لَهُمْ أَمْ لَمْ تَسْتَغْفِرْ لَهُمْ لَنْ يَغْفِرَ اللَّهُ لَهُمْ إِنَّ اللَّهَ لاَ يَهْدِي الْقَوْمَ الْفَاسِقِينَ}:
Chapter. The Statement of Allah:“It is equal to them whether you (Muhammad) ask for their forgiveness...”(V.63:6)
Hadith Number: 4905
حدثنا علي، حدثنا سفيان، قال عمرو: سمعت جابر بن عبد الله رضي الله عنهما، قال: كنا في غزاة، قال سفيان: مرة في جيش، فكسع رجل من المهاجرين رجلا من الانصار، فقال الانصاري: يا للانصار، وقال المهاجري: يا للمهاجرين، فسمع ذاك رسول الله صلى الله عليه وسلم، فقال:" ما بال دعوى الجاهلية"، قالوا: يا رسول الله، كسع رجل من المهاجرين رجلا من الانصار، فقال:" دعوها فإنها منتنة"، فسمع بذلك عبد الله بن ابي، فقال: فعلوها اما والله لئن رجعنا إلى المدينة ليخرجن الاعز منها الاذل، فبلغ النبي صلى الله عليه وسلم، فقام عمر، فقال: يا رسول الله، دعني اضرب عنق هذا المنافق، فقال النبي صلى الله عليه وسلم:" دعه لا يتحدث الناس ان محمدا يقتل اصحابه"، وكانت الانصار اكثر من المهاجرين حين قدموا المدينة، ثم إن المهاجرين كثروا بعد، قال سفيان: فحفظته من عمرو، قال عمرو: سمعت جابرا كنا مع النبي صلى الله عليه وسلم.
Hum se Ali bin Abdullah Madini ne byaan kiya, kaha hum se Sufyan bin Uyaynah ne byaan kiya ke un se Amr bin Dinar ne byaan kiya aur unhon ne Jabir bin Abdullah razi Allahu anhuma se suna, unhon ne byaan kiya ke hum ek ghazwa (Ghazwa Tabook) mein thay. Sufyan ne ek martaba (bajaye ghazwa ke) jaysh (lashkar) ka lafz kaha. Muhajireen mein se ek aadmi ne Ansar ke ek aadmi ko laat maar di. Ansari ne kaha ke Ae Ansario! Dauro aur Muhajir ne kaha Ae Muhajireen! Dauro. To Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne bhi usay suna aur farmaya kya qissa hai? Yeh jahiliyat ki pukar kaisi hai? Logon ne bataya ke ya Rasool Allah! Ek Muhajir ne ek Ansari ko laat se maar diya hai. Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke is tarah jahiliyat ki pukar ko chhor do ke yeh nihayat na-paak baatein hain. Abdullah bin Ubayy ne bhi yeh baat suni to kaha achha ab yahan tak naubat pahunch gayi. Khuda ki qasam! Jab hum Madinah laut-te hain to hum se izzat wala zaleelon ko nikal kar bahar kar de ga. Is ki khabar Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ko pahunch gayi. Umar razi Allahu anhu ne kharay ho kar arz kiya: ya Rasool Allah! Mujhe ijazat dein ke main is munafiq ko khatam kar doon. Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke usay chhor do taake log yeh na kahein ke Muhammad (salla Allahu alaihi wasallam) apne sathiyon ko qatl kara dete hain. Jab Muhajireen Madinah Munawwarah mein aaye to Ansar ki tadaad se un ki tadaad kam thi. Lekin baad mein in Muhajireen ki tadaad zyada ho gayi thi. Sufyan ne byaan kiya ke main ne hadees Amr bin Dinar se yaad ki, Amr ne byaan kiya ke main ne Jabir razi Allahu anhu se suna ke hum Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke saath thay.
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة