الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب تَفْسِيرِ الْقُرْآنِ
The Book of Commentary
بَابُ: {حُورٌ مَقْصُورَاتٌ فِي الْخِيَامِ}:
Chapter.“Hur (beautiful fair females) guarded in pavilions." (V.55:72)
Hadith Number: Q4879
وقال ابن عباس: الحور: السود الحدق، وقال مجاهد: مقصورات: محبوسات قصر طرفهن وانفسهن على ازواجهن قاصرات لا يبغين غير ازواجهن.
Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne kaha «hoorun» ke maani kaali aankhon wali aur Mujahid ne kaha «maqsooraatun» ke maani un ki nigah aur jaan apne shoharon par ruki hui ho gi (woh apne khawand-on ke siwa aur kisi par aankh nahi dalein gi). «qaasiraatun» ke maani apne khawand ke siwa aur kisi ki khwahish-mand na ho gi. «fil khiyaami» ke maani khaimon mein mahfooz hon gi.
Hadith Number: 4879
حدثنا محمد بن المثنى، قال: حدثني عبد العزيز بن عبد الصمد، حدثنا ابو عمران الجوني، عن ابي بكر بن عبد الله بن قيس، عن ابيه، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم قال:" إن في الجنة خيمة من لؤلؤة مجوفة عرضها ستون ميلا، في كل زاوية منها اهل ما يرون الآخرين يطوف عليهم المؤمنون.
Hum se Muhammad bin Musanna ne byaan kiya, unhon ne kaha ke mujh se Abdul Aziz bin Abdus Samad ne byaan kiya, kaha hum se Abu Imran Jawni ne byaan kiya, un se Abu Bakr bin Abdullah bin Qays ne aur un se un ke walid ne ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke jannat mein khokhlay moti ka khaima ho ga, is ki chorayi saath meel ho gi aur is ke har kinare par Musalman ki ek biwi ho gi ek kinare wali doosre kinare wali ko na dekh sake gi.
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 4880
وجنتان من فضة آنيتهما وما فيهما، وجنتان من كذا آنيتهما وما فيهما، وما بين القوم وبين ان ينظروا إلى ربهم إلا رداء الكبر على وجهه في جنة عدن".
Aur momin un ke paas baari baari jayein ge aur do bagh hon ge jin ke bartan aur tamam doosri cheezin chaandi ki hon gi aur aise bhi do bagh hon ge jab ke bartan aur tamam doosri cheezin sone ki hon gi. Jannat e Adn walon ko Allah Paak ke deedar mein sirf ek jalal ki chadar haail ho gi jo is ke (mubarak) munh par pari ho gi.
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة