الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب تَفْسِيرِ الْقُرْآنِ
The Book of Commentary
سورة {الْوَاقِعَةِ}:
SURAT AL-WAQIAH (The Event)
Show diacritics
Hadith Number: Q4881
وقال مجاهد: رجت: زلزلت، بست: فتت لتت كما يلت السويق المخضود الموقر حملا، ويقال ايضا: لا شوك له، منضود: الموز والعرب المحببات إلى ازواجهن، ثلة: امة، يحموم: دخان اسود، يصرون: يديمون الهيم الإبل الظماء، لمغرمون: لملومون مدينين محاسبين، روح: جنة ورخاء، وريحان: الريحان الرزق، وننشئكم: فيما لا تعلمون في اي خلق نشاء، وقال غيره: تفكهون: تعجبون، عربا: مثقلة واحدها عروب مثل صبور وصبر يسميها اهل مكة العربة، واهل المدينة الغنجة، واهل العراق الشكلة، وقال: في خافضة لقوم إلى النار، ورافعة: إلى الجنة، موضونة: منسوجة ومنه وضين الناقة والكوب لا آذان له ولا عروة، والاباريق ذوات الآذان، والعرى، مسكوب: جار، وفرش مرفوعة: بعضها فوق بعض، مترفين: ممتعين، ما تمنون: من النطف يعني هي النطفة في ارحام النساء، للمقوين: للمسافرين والقي القفر، بمواقع النجوم: بمحكم القرآن، ويقال: بمسقط النجوم إذا سقطن ومواقع وموقع واحد، مدهنون: مكذبون مثل، لو تدهن فيدهنون فسلام لك: اي مسلم لك إنك من اصحاب اليمين، والغيت إن وهو معناها كما، تقول: انت مصدق مسافر، عن قليل إذا كان قد، قال: إني مسافر، عن قليل وقد يكون كالدعاء له كقولك فسقيا من الرجال إن رفعت السلام، فهو من الدعاء، تورون: تستخرجون اوريت اوقدت، لغوا: باطلا تاثيما: كذبا.
Mujahid ne kaha «rujjat» ka maani hilayi jaye. «bus-sat» chor chor kiye jayein ge aur sattu ki tarah lat-pat kar diye jayein ge. «al-makhdoodu» bojh lade huay ya jin mein kaanta na ho. «mandoodun» , «mauzun» (kela). «uruban» apne khawand ki pyari biwi. «sullatun» ummat giroh. «hamoomun» kala dhuwaan. «yusirroona» hat-dharmi karte, hamesha karte thay. «al-heemu» pyaase oont. «lamughramoona» tootay mein aa gaye, dund hua. «rauhun» bahisht, aaram, rahat. «rayhaanun» rizq, rozi. «wa nunshi'akum fee ma la talamoona» yani jis surat mein hum chahein tum ko paida karein. Mujahid ke siwa auron ne kaha «tafakkahoona» ka maani «taajjaboona» tajub karte jayein. «uruban mustaqillatan» (yani dhumma ke saath) «aroobun» ki jama jaise «saboorun» ki jama «sabrun» aati hai ( «aroobun» khubsoort pyari aurat) Makkah wale aaisi aurat ko «aroobatun» kehte hain. Aur Madinah wale «ghunjatun» aur Iraq wale «ash-shaklatu» kehte hain. «khaafidatun» ek qaum ko neecha dikhane wali yani dozakh mein le jaane wali. «raafiatun» ek qaum ko buland karne wale yani bahisht mein le jaane wali. «maudoonatun» sone se bane huay, isi se nikla hai «wadeen-un-naaqati» yani oontni ka zer-band (tang). «koobun» aab-khora jis mein tonti aur kunda na ho. ( «akoobun» jama hai) «ibreequn» woh kooza jis mein tonti kunda ho. «abaaree-qu» is ki jama hai. «maskoobun» behta hua, jaari. «wa furushim-marfooatin» oonche bichhone yani ek ke oopar ek tallay oopar bichhaye gaye. «mutrafeena» ka maani aasooda, aaram parwarda thay. «ma tumnoona» nutfa jo auraton ke rahmon mein daalte ho. «lil-muqweena» musafiron ke faide ke liye yeh «qiy-yun» se nikla hai «qiy-yun» kehte hain be-aab o giyah maidan ko. «bi-mawaaqi-in-nujoomi» se Quran ki muhkam aayatein murad hain baazon ne kaha taare doobne ke maqamat. «waaqiun» jama hai, is ka wahid «mauqiun» donon ka (jab mudhaaf hon) ek hi maani hai. «mudeenoona» jhutlane wale jaise is aayat mein hai «lau tud-hinu fa-yud-hinoona fasalaamul laka min as-haabil yameeni» ka yeh maani hai. «musallamul laka innaka min as-haabil yameeni» yani yeh baat maan li gayi hai chahe ke tu dahne hath walon mein se hai to un ka lafz gira diya gaya magar is ka maani qaim rakkha gaya is ki misal yeh hai ke maslan koi kahe main ab thori der mein safar karne wala hoon aur tu is se kahe «anta musaddaqun musafirun an qaleelin» yahan bhi «an» mahzouf hai yani «anta musaddaqun annaka musafirun an qaleelin» kabhi salam ka lafz bataur dua ke mustamal hota hai agar marfoo ho jaise «fasu-qyan» nasb ke saath dua ke ma'non mein aata hai yani Allah tujh ko seerab kare. «tooroona» sulgate ho aag nikalte ho «auraytu» se yani main ne sulgaya, laghwa, baatil, jhoot. «ta'seeman» jhoot, ghalat.