الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب تَفْسِيرِ الْقُرْآنِ
The Book of Commentary
بَابٌ:
Chapter.
Hadith Number: 4855
حدثنا يحيى، حدثنا وكيع، عن إسماعيل بن ابي خالد، عن عامر، عن مسروق، قال: قلت لعائشة رضي الله عنها: يا امتاه، هل راى محمد صلى الله عليه وسلم ربه؟ فقالت: لقد قف شعري مما قلت اين انت من ثلاث من حدثكهن، فقد كذب من حدثك ان محمدا صلى الله عليه وسلم راى ربه فقد كذب، ثم قرات: لا تدركه الابصار وهو يدرك الابصار وهو اللطيف الخبير سورة الانعام آية 103 وما كان لبشر ان يكلمه الله إلا وحيا او من وراء حجاب سورة الشورى آية 51، ومن حدثك انه يعلم ما في غد فقد كذب، ثم قرات وما تدري نفس ماذا تكسب غدا سورة لقمان آية 34، ومن حدثك انه كتم فقد كذب، ثم قرات يايها الرسول بلغ ما انزل إليك من ربك سورة المائدة آية 67 الآية، ولكنه راى جبريل عليه السلام في صورته مرتين".
Hum se Yahya bin Musa ne byaan kiya , un se Waki ne , un se Ismail bin Abi Khalid ne , un se Aamir ne aur un se Masrooq ne byaan kiya ke main ne Aisha razi Allahu anha se poocha: Ae iman walon ki maan! Kya Muhammad salla Allahu alaihi wasallam ne Meraj ki raat mein apne Rabb ko dekha tha ? Aisha razi Allahu anha ne kaha tum ne aaisi baat kahi ke mere raungtay kharay ho gaye kya tum in teen baaton se bhi na-waqif ho ? Jo shakhs bhi tum mein se yeh teen baatein byaan kare woh jhoota hai jo shakhs yeh kehta ho ke Muhammad salla Allahu alaihi wasallam ne Shab e Meraj mein apne Rabb ko dekha tha woh jhoota hai . Phir unhon ne aayat «la tudrikuhul absaru wa huwa yudrikul absara wa huwal lateeful khabeeru» se le kar «min waraa-i hijabin» tak ki tilawat ki aur kaha ke kisi insan ke liye mumkin nahi ke Allah se baat kare siwa is ke ke wahi ke zariye ho ya phir parde ke peeche se ho aur jo shakhs tum se kahe ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam aane wale kal ki baat jaante thay woh bhi jhoota hai . Is ke liye unhon ne aayat «wa ma tadri nafsun mazha taksibu ghadan» yani ”aur koi shakhs nahi jaanta ke kal kya kare ga .“ Ki tilawat farmayi . Aur jo shakhs tum mein se kahe ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne tableegh e deen mein koi baat chhupayi thu woh bhi jhoota hai . Phir unhon ne yeh aayat tilawat ki «ya ayyuhar-rasoolu balligh ma unzhila ilayka mir-rabbika» yani Ae Rasool! Pahuncha dijiye woh sab kuch jo Aap ke Rabb ki taraf se Aap par utara gaya hai . Haan Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne Jibraeel alaihissalam ko un ki asal surat mein do martaba dekha tha .
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة