الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب تَفْسِيرِ الْقُرْآنِ
The Book of Commentary
بَابُ: {حَتَّى إِذَا فُزِّعَ عَنْ قُلُوبِهِمْ قَالُوا مَاذَا قَالَ رَبُّكُمْ قَالُوا الْحَقَّ وَهُوَ الْعَلِيُّ الْكَبِيرُ}:
Chapter.“...So much so that when fear is banished from their (angels’) hearts, they (angels) say: ’What is it that your Lord has said?" They say: ’The truth. And He is the Most High, the Most Great.’ ”(V.34:23)
Hadith Number: 4800
حدثنا الحميدي، حدثنا سفيان، حدثنا عمرو، قال: سمعت عكرمة، يقول: سمعت ابا هريرة، يقول:" إن نبي الله صلى الله عليه وسلم قال:" إذا قضى الله الامر في السماء ضربت الملائكة باجنحتها خضعانا لقوله، كانه سلسلة على صفوان، فإذا فزع عن قلوبهم، قالوا: ماذا؟ قال: ربكم، قالوا: للذي قال الحق وهو العلي الكبير، فيسمعها مسترق السمع، ومسترق السمع هكذا بعضه فوق بعض، ووصف سفيان بكفه، فحرفها وبدد بين اصابعه، فيسمع الكلمة، فيلقيها إلى من تحته، ثم يلقيها الآخر إلى من تحته، حتى يلقيها على لسان الساحر او الكاهن، فربما ادرك الشهاب قبل ان يلقيها، وربما القاها قبل ان يدركه، فيكذب معها مائة كذبة، فيقال: اليس قد قال لنا يوم كذا وكذا كذا وكذا، فيصدق بتلك الكلمة التي سمع من السماء".
Hum se Abdullah bin Zubayr Humaydi ne byaan kiya , kaha hum se Sufyan bin Uyaynah ne , kaha hum se Amr bin Dinar ne , kaha ke main ne Ikrimah se suna , woh byaan karte thay ke main ne Abu Hurairah razi Allahu anhu se suna , unhon ne byaan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke jab Allah Ta'ala aasman par kisi baat ka faisla karta hai to farishte Allah Ta'ala ke faisla ko sun kar jhukte huay aajzi karte huay apne bazu phar-pharate hain . Allah ka farman unhein is tarah sunayi deta hai jaise saaf chakne patthar par zanjeer chalane se aawaz paida hoti hai . Phir jab un ke dilon se ghabrahat door ho jati hai to woh aapas mein poochte hain ke tumhare Rabb ne kya farmaya ? Woh kehte hain ke haq baat ka hukm farmaya aur woh bahut ooncha , sab se bara hai phir un ki yahi guftagu chori chhupe sunne wale Shaytan sun bhaagte hain , Shaytan aasman ke neeche yun neeche oopar hote hain , Sufyan ne is mauqa par hatheli ko morr kar ungliyan alag alag kar ke shayateen ke jama hone ki kaifiyat batayi ke is tarah Shaytan ek ke oopar ek rehte hain . Phir woh Shaytan koi ek kalma sun lete hain aur apne neeche wale ko batate hain . Is tarah woh kalma saahir ya kaahin tak pahunchta hai . Kabhi to aisa hota hai ke is se pehle ke woh yeh kalma apne se neeche wale ko bataiyein aag ka gola unhein aa dabocha hai aur kabhi aisa hota hai ke jab woh bata lete hain to aag ka angara un par parta hai , is ke baad kaahin is mein sau jhoot mila kar logon se byaan karta hai (ek baat jab is kaahin ki sahih ho jati hai to un ke maanne walon ki taraf se) kaha jata hai ke kya isi tarah hamain se falan din kaahin nahi kaha tha , isi ek kalma ki wajah se jo aasman par shayateen ne suna tha kaahinon aur saahiron ki baat ko log sacha jaanne lagte hain .
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة