الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب تَفْسِيرِ الْقُرْآنِ
The Book of Commentary
سورة سَبَإٍ:
SURAT SABA (Sheba)
Hadith Number: Q4800
يقال: معاجزين: مسابقين، بمعجزين: بفائتين، معاجزي: مسابقي، سبقوا: فاتوا، لا يعجزون: لا يفوتون، يسبقونا: يعجزونا، وقوله: بمعجزين سورة الانعام آية 134: بفائتين ومعنى، معاجزين: مغالبين يريد كل واحد منهما ان يظهر عجز صاحبه معشار عشر، يقال: الاكل الثمر، باعد: وبعد واحد، وقال مجاهد: لا يعزب سورة سبا آية 3: لا يغيب سيل العرم السد ماء احمر ارسله الله في السد فشقه وهدمه وحفر، الوادي، فارتفعتا عن الجنبين، وغاب عنهما الماء فيبستا، ولم يكن الماء الاحمر من السد، ولكن كان عذابا ارسله الله عليهم من حيث شاء، وقال عمرو بن شرحبيل: العرم المسناة بلحن اهل اليمن، وقال غيره: العرم الوادي السابغات الدروع، وقال مجاهد: يجازى يعاقب، اعظكم بواحدة: بطاعة الله، مثنى وفرادى: واحد واثنين، التناوش: الرد من الآخرة إلى الدنيا، وبين ما يشتهون: من مال او ولد او زهرة، باشياعهم: بامثالهم، وقال ابن عباس: كالجواب: كالجوبة من الارض الخمط الاراك والاثل الطرفاء العرم الشديد.
«mu-aajizeena» ke maani aage barhne wale . «bi-mujizeena» hamare hath se nikal jaane wale . «sabaqoo» ke maani hamare hath se nikal gaye . «la yujizhoona» hamare hath se nahi nikal sakte . «yasbiqoona» hamain aajiz kar sakein ge . «bi-mujizeena» aajiz karne wale (jaise mashhoor qirat hai) aur «mu-aajizeena» (jo doosri qirat hai) is ka maani ek doosre par ghalba dhoondne wale ek doosre ka ajz zahir karne wale . «mishara» ka maani daswan hissa . «al-ukulu» phal . «ba'id» (jaise mashhoor qirat hai) aur «ba'ad» jo Ibn Kaseer ki qirat hai donon ka maani ek hai aur Mujahid ne kaha «la yazubu» ka maani is se ghaib nahi hota . «al-arimu» woh band ya ek laal pani tha jis ko Allah Paak ne band par bheja woh phat kar gir gaya aur maidan mein garha par gaya . Bagh donon taraf se oonche ho gaye phir pani ghaib ho gaya . Donon bagh sookh gaye aur yeh laal pani band mein se beh kar nahi aaya tha balkay Allah ka azab tha jahan se chaha wahan se bheja aur Amr bin Sharahbeel ne kaha «arimun» kehte hain band ko Yaman walon ki zaban mein . Doosre ne kaha ke «arimun» ke maani naale ke hain . «as-sabighatu» ke maani zirhein . Mujahid ne kaha . «yujaaza» ke maani azab diye jate hain . «a-izhu-kum bi-waahidatin» yani main tum ko Allah ki itaat karne ki nasihat karta hoon . «masna» do do ko . «furaada» ek ek ko kehte hain . «at-tanaawushu» aakhirat se phir duniya mein aana (jo mumkin nahi hai) . «ma yashtahoona» un ki khwahishat maal o aulad duniya ki zaib o zeenat . «bi-ash-ya'ihim» un ki jorr wale doosre kafir . Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne kaha «kal-jawabi» jaise pani bharne ke garhon jaise «jawba-tuhu» kehte hain hauz ko . Imam Bukhari rahmahullah ka yeh matlab nahi hai ke «jawabi» aur «jawba-tun» ka mada ek hai kyunke «jawabi» , «jaabiyatun» ka jama hai . Is ka ayn kalma baa aur «jawba-tun» ka ayn kalma wao hai . «khamtin» peelu ka darakht . «al-aslu» jhao ka darakht . «al-arimu» sakht zor ki (barish) .