الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب تَفْسِيرِ الْقُرْآنِ
The Book of Commentary
بَابُ: {وَلَوْلاَ إِذْ سَمِعْتُمُوهُ قُلْتُمْ مَا يَكُونُ لَنَا أَنْ نَتَكَلَّمَ بِهَذَا سُبْحَانَكَ هَذَا بُهْتَانٌ عَظِيمٌ}:
(8b) Chapter.“And why did you not, when you heard it, say: It is not right for us to speak of this...”(V.24:16)
Show diacritics
Hadith Number: 4753
حدثنا محمد بن المثنى، حدثنا يحيى، عن عمر بن سعيد بن ابي حسين، قال: حدثني ابن ابي مليكة، قال: استاذن ابن عباس قبل موتها على عائشة وهي مغلوبة، قالت:" اخشى ان يثني علي"، فقيل ابن عم رسول الله صلى الله عليه وسلم: ومن وجوه المسلمين، قالت: ائذنوا له، فقال: كيف تجدينك؟ قالت: بخير إن اتقيت، قال: فانت بخير إن شاء الله زوجة رسول الله صلى الله عليه وسلم، ولم ينكح بكرا غيرك، ونزل عذرك من السماء، ودخل ابن الزبير خلافه، فقالت: دخل ابن عباس فاثنى علي، ووددت اني كنت نسيا منسيا".
Hum se Muhammad bin Musanna ne byaan kiya , kaha hum se Yahya bin Saeed Qattan ne , un se Amr bin Saeed bin Abi Husain ne , un se Ibn Abi Mulaykah ne , kaha ke Aisha razi Allahu anha ki wafat se thori der pehle , jabke woh naza ki halat mein thien , Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne un ke paas aane ki ijazat chaahi , Aisha razi Allahu anha ne kaha ke mujhe darr hai ke kahin woh meri tareef na karne lagein . Kisi ne arz kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ke chacha-zaad bhai hain aur khud bhi izzat-dar hain (is liye Aap ko ijazat de deni chahiye) is par unhon ne kaha ke phir unhein andar bula lo . Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne un se poocha ke Aap kis haal mein hain ? Is par unhon ne farmaya ke agar main Allah ke nazdeek achhi hoon to sab achha hi achha hai . Is par Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne kaha ke In sha Allah Aap achhi hi rahein gi . Aap Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ki zauja mutahhara hain aur Aap ke siwa Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne kisi kunwari aurat se nikah nahi farmaya aur Aap ki bara'at (Quran Majeed mein) aasman se nazil hui . Ibn Abbas razi Allahu anhuma ke tashreef le jaane ke baad Aap ki khidmat mein Ibn Zubayr razi Allahu anhuma hazir huay . Muhtarma ne in se farmaya ke abhi Ibn Abbas aaye thay aur meri tareef ki , main to chahti hoon ke kaash main ek bholi bisri gum-naam hoti .


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 4754
حدثنا محمد بن المثنى، حدثنا عبد الوهاب بن عبد المجيد، حدثنا ابن عون، عن القاسم، ان ابن عباس رضي الله عنه استاذن على عائشة نحوه، ولم يذكر نسيا منسيا.
Hum se Muhammad bin Musanna ne byaan kiya , kaha hum se Abdul Wahhab bin Abdul Majeed ne byaan kiya , un se Abdullah bin Aun ne byaan kiya , un se Qasim bin Muhammad ne ke Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne Aisha razi Allahu anha ke paas aane ki ijazat chaahi . Phir rawi ne mazkoora bala hadees ki tarah byaan kiya lekin is hadees mein rawi ne lafz «nasyam mansiyyan» ka zikr nahi kiya .


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain