الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب تَفْسِيرِ الْقُرْآنِ
The Book of Commentary
بَابُ قَوْلِهِ: {وَأَنْذِرْهُمْ يَوْمَ الْحَسْرَةِ}:
Chapter. The Statement of Allah:“And warn them (O Muhammad) of the Day of grief and regrets..." (V.19:39)
Hadith Number: 4730
حدثنا عمر بن حفص بن غياث، حدثنا ابي، حدثنا الاعمش، حدثنا ابو صالح، عن ابي سعيد الخدري رضي الله عنه، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" يؤتى بالموت كهيئة كبش املح، فينادي مناد: يا اهل الجنة، فيشرئبون وينظرون، فيقول: هل تعرفون هذا؟ فيقولون: نعم، هذا الموت وكلهم قد رآه، ثم ينادي: يا اهل النار، فيشرئبون وينظرون، فيقول: هل تعرفون هذا؟ فيقولون: نعم، هذا الموت وكلهم قد رآه، فيذبح، ثم يقول: يا اهل الجنة، خلود فلا موت، ويا اهل النار: خلود فلا موت، ثم قرا وانذرهم يوم الحسرة إذ قضي الامر وهم في غفلة سورة مريم آية 39 وهؤلاء في غفلة اهل الدنيا وهم لا يؤمنون سورة مريم آية 39".
Hum se Umar bin Hafs bin Ghiyas ne byaan kiya , kaha hum se hamare walid ne , hum se Aamash ne , hum se Abu Salih ne byaan kiya aur un se Abu Saeed Khudri razi Allahu anhu ne byaan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Qayamat ke din maut ek chit-kabre mendhay ki shakal mein layi jaye gi . Ek aawaz dene wala farishta aawaz de ga ke ae Jannat walo! Tamam jannati gardan utha utha kar dekhein ge , aawaz dene wala farishta pooche ga . Tum is mendhay ko bhi pehchante ho ? Woh bolien ge ke haan , yeh maut hai aur in se har shakhs is ka zaiqa chakh chuka ho ga . Phir usay zibah kar diya jaye ga aur aawaz dene wala jannatiyon se kahe ga ke ab tumhare liye hameshi hai , maut tum par kabhi na aaye gi aur ae Jahannum walo! Tumhein bhi hamesha isi tarah rehna hai , tum par bhi maut kabhi nahi aaye gi . Phir Aap salla Allahu alaihi wasallam ne yeh aayat tilawat ki «wa anzhirhum yawmal hasrati izh qudiyal amru wa hum fee ghaflatin» al-kh ”aur unhein hasrat ke din se dra do . Jabke akheer faisla kar diya jaye ga aur yeh log ghaflat mein pare huay hain (yani dunyadar log) aur iman nahi laate .“
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة