الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب تَفْسِيرِ الْقُرْآنِ
The Book of Commentary
سورة كهيعص:
SURAT Kaf-Ha-Ta-Ain-Sad (MARYAM) (Mary)
Hadith Number: Q4730
قال ابن عباس: اسمع بهم وابصر الله يقوله وهم اليوم لا يسمعون ولا يبصرون، في ضلال مبين، يعني قوله: اسمع بهم وابصر: الكفار يومئذ اسمع شيء وابصره، لارجمنك: لاشتمنك، ورئيا: منظرا، وقال ابن عيينة: تؤزهم ازا: تزعجهم إلى المعاصي إزعاجا، وقال مجاهد: إدا: عوجا، قال ابن عباس: وردا: عطاشا، اثاثا: مالا، إدا: قولا عظيما، ركزا: صوتا، غيا: خسرانا، بكيا: جماعة باك، صليا: صلي يصلى، نديا: والنادي مجلسا.
Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne kaha «absir bihim wa asmi» yeh Allah farmata hai aaj ke din (yani duniya mein) na to kafir sunte hain na dekhte hain balkay khuli hui gumrahi mein hain . Matlab yeh hai ke «asmi bihim wa absir» yani kafir Qayamat ke din khoob sunte aur khoob dekhte hon ge (magar is waqt ka sunna dekhna kuch faida na de ga) . «la-arjumannaka» main tujh par gaaliyon ka patthrao karoon ga . Lafz «ri'yan» ke maani manzar , dikhawa aur Abu Wail Shaqeeq bin Salama ne kaha Maryam alayhassalam jaanti thien ke jo parhezgar hota hai woh sahib e aqal hota hai . Isi liye unhon ne kaha main tujh se Allah ki panah chahti hoon agar tu parhezgar hai . Aur Sufyan bin Uyaynah ne kaha «ta-uzzuhum azzan» ka maani yeh hai ke Shaytan kafiron ko gunahon ki taraf ghaseette hain . Mujahid ne kaha «iddan» ke maani kajj aur teerhi , ghalat baat (ya kajj aur teerhi baatein) . Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne kaha «wirdan» ke maani pyaase ke hain aur «asasan» ke maani maal asbab . «iddan» bari baat . «rikzan» halki , past aawaz . «ghayyan» nuqsan , toota . «bukiyyan» , «baaki» ki jama hai yani rone wale . «suliyyan» masdar hai . «sala» , «yasla» baab «samia» , «yasmau» se yani jalna . «nadiyyun» aur «lin-nadi» donon ke maani majlis ke hain .