الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب تَفْسِيرِ الْقُرْآنِ
The Book of Commentary
بَابُ قَوْلِهِ: {كَشَجَرَةٍ طَيِّبَةٍ أَصْلُهَا ثَابِتٌ وَفَرْعُهَا فِي السَّمَاءِ تُؤْتِي أُكْلَهَا كُلَّ حِينٍ}:
Chapter. The Statement of Allah:“...As a goodly tree, whose root is firmly fixed..." (V.14:24)
Show diacritics
Hadith Number: 4698
حدثني عبيد بن إسماعيل، عن ابي اسامة، عن عبيد الله، عن نافع، عن ابن عمر رضي الله عنهما، قال: كنا عند رسول الله صلى الله عليه وسلم فقال:" اخبروني بشجرة تشبه، او كالرجل المسلم، لا يتحات ورقها، ولا، ولا، ولا تؤتي اكلها كل حين"، قال ابن عمر: فوقع في نفسي انها النخلة، ورايت ابا بكر وعمر لا يتكلمان، فكرهت ان اتكلم، فلما لم يقولوا شيئا، قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" هي النخلة"، فلما قمنا قلت لعمر: يا ابتاه، والله لقد كان وقع في نفسي انها النخلة، فقال: ما منعك ان تكلم، قال: لم اركم تكلمون فكرهت ان اتكلم، او اقول شيئا، قال عمر: لان تكون قلتها احب إلي من كذا، وكذا.
Mujh se Ubayd bin Ismail ne byaan kiya , kaha hum se Abu Usamah ne , un se Ubaydullah ne , un se Nafi ne aur un se un ke walid (Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma) ne byaan kiya ke hum Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein hazir thay , Aap salla Allahu alaihi wasallam ne daryaft farmaya: achha mujh ko batlao to woh kaun sa darakht hai jo Musalman ki manind hai jis ke patte nahi girte , har waqt mewa de jata hai ? Ibn Umar razi Allahu anhuma kehte hain mere dil mein aaya woh khajoor ka darakht hai magar main ne dekha ke Abu Bakr aur Umar razi Allahu anhuma baithe huay hain unhon ne jawab nahi diya to mujh ko in buzurgon ke samne kalam karna achha maloom nahi hua . Jab in logon ne kuch jawab nahi diya to Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne khud hi farmaya woh khajoor ka darakht hai . Jab hum is majlis se kharay huay to main ne apne walid Umar razi Allahu anhu se arz kiya: Baba jaan! Allah ki qasam! Mere dil mein aaya tha ke main keh doon woh khajoor ka darakht hai . Unhon ne kaha phir tu ne keh kyun na diya . Main ne kaha Aap logon ne koi baat nahi ki main ne aage barh kar baat karna munasib na jaana . Unhon ne kaha wah agar tu is waqt keh deta to mujh ko itne itne (laal laal oont ka) maal milne se bhi zyada khushi hoti .


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain