الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب تَفْسِيرِ الْقُرْآنِ
The Book of Commentary
سورة إِبْرَاهِيمَ:
SURAT IBRAHIM (The Prophet Ibrahim)
Hadith Number: Q4698
قال ابن عباس: هاد: داع، وقال مجاهد: صديد قيح ودم، وقال ابن عيينة: اذكروا نعمة الله عليكم: ايادي الله عندكم وايامه، وقال مجاهد: من كل ما سالتموه: رغبتم إليه فيه، يبغونها عوجا: يلتمسون لها عوجا، وإذ تاذن ربكم، اعلمكم آذنكم: ردوا ايديهم في افواههم، هذا مثل كفوا عما امروا به، مقامي: حيث يقيمه الله بين يديه، من ورائه: قدامه جهنم، لكم تبعا: واحدها تابع مثل غيب وغائب، بمصرخكم: استصرخني استغاثني يستصرخه من الصراخ، ولا خلال: مصدر خاللته خلالا ويجوز ايضا جمع خلة وخلال، اجتثت: استؤصلت.
Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne kaha «haadin» ka maani bulane wala , hidayat karne wala (Nabi o Rasool murad hain) . Aur Mujahid ne kaha «sadeedun» ka maani peep aur lahu . Aur Sufyan bin Uyaynah ne ke «uzkuroo niamatallahi alaykum» ka maani yeh hai ke Allah ki jo niamatein tumhare paas hain un ko yaad karo aur jo jo agle waqiaat is ki qudrat ke huay hain aur Mujahid ne kaha «min kulli ma sa'altumoohu» ka maani yeh hai ke jin jin cheezon ki tum ne raghbat ki «yabghoonaha iwajan» is mein kajji paida karne ki talash karte rehte hain . «wa izh ta'azhzana rabbukum» jab tumhare malik ne tum ko khabardar kar diya jatla diya . «raddoo aydeeahum fee afwaahihim» yeh Arab ki zaban mein ek masal hai . Is ka matlab yeh hai ke Allah ka jo hukm hua tha is se baaz rahe , baja na laye . «maqaami» woh jagah jahan Allah Paak is ko apne samne khara kare ga . «min wara'ihi» samne se . «lakum taba'un» , «taba'un» , «taabi'un» ki jama hai jaise «ghaybun» , «ghaa'ibun» ki . «bi-musrikhikum» Arab log kehte hain «istakhrakhani» yani is ne meri faryad sun li . «yastasrikhuhu» is ki faryad sunta hai donon «surakhun» se nikle hain ( «surakhun» ka maani faryad) . «wa la khilaalun» , «khaallat-hu» ka masdar hai aur «khullatun» ki jama bhi ho sakta hai (yani is din dosti na ho gi ya dostiyaan na hon gi) «uj-tussat» jarr se ukhaarr liya gaya .