الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب تَفْسِيرِ الْقُرْآنِ
The Book of Commentary
بَابُ: {فَكَيْفَ إِذَا جِئْنَا مِنْ كُلِّ أُمَّةٍ بِشَهِيدٍ وَجِئْنَا بِكَ عَلَى هَؤُلاَءِ شَهِيدًا}:
Chapter.“How (will it be) then when We bring from each nation a witness and We bring you (O Muhammad) as a witness against these people?”(V.4:41)
Hadith Number: Q4582
المختال والختال واحد نطمس وجوها نسويها حتى تعود كاقفائهم طمس الكتاب محاه جهنم سعيرا وقودا.
«al-mukhtalu» aur «khattalu» ka maani ek hai yani ghuroor karne aur akarnay wala . «natmisa wujoohahum» ka matlab yeh hai ke hum un ke chehron ko mait kar gadhe ki tarah sapaat kar dein ge , yeh «tamsul kitabi» se nikla hai yani likha hua mait diya . Lafz «saeeran» bamaani eendhan ke hai .
Hadith Number: 4582
حدثنا صدقة، اخبرنا يحيى، عن سفيان، عن سليمان، عن إبراهيم، عن عبيدة، عن عبد الله، قال يحيى: بعض الحديث، عن عمرو بن مرة، قال: قال لي النبي صلى الله عليه وسلم:" اقرا علي"، قلت: ااقرا عليك وعليك انزل، قال:" فإني احب ان اسمعه من غيري"، فقرات عليه سورة النساء حتى بلغت فكيف إذا جئنا من كل امة بشهيد وجئنا بك على هؤلاء شهيدا سورة النساء آية 41، قال:" امسك"، فإذا عيناه تذرفان.
Hum se Sadaqah bin Fadl ne byaan kiya , kaha hum ko Yahya bin Saeed Qattan ne khabar di , unhein Sufyan Sawri ne , unhein Sulayman ne , unhein Ibrahim ne , unhein Ubaydah ne aur unhein Abdullah bin Masood razi Allahu anhu ne , Yahya ne byaan kiya ke hadees ka kuch hissa Amr bin Murrah se hai (ba-wasta Ibrahim) ke Abdullah bin Masood razi Allahu anhu ne byaan kiya ke mujh se Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke mujhe Quran parh kar sunao . Main ne arz kiya , Nabi salla Allahu alaihi wasallam ko main parh ke sunaon ? Woh to Aap salla Allahu alaihi wasallam par hi nazil hota hai . Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke main doosre se sunna chahta hoon . Chunanche main ne Aap ko Surah Nisa sunani shuru ki , jab main «fakaifa izha ji'na min kulli ummatin bishaheedin wa ji'na bika ala ha-ula-i shaheeda» par pahuncha to Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke thehar jao . Main ne dekha to Aap salla Allahu alaihi wasallam ki aankhon se aansu beh rahe thay .
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة