الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الْحَيْضِ
The Book of Menses (Menstrual Periods)
بَابُ إِذَا حَاضَتْ فِي شَهْرٍ ثَلاَثَ حِيَضٍ وَمَا يُصَدَّقُ النِّسَاءُ فِي الْحَيْضِ وَالْحَمْلِ فِيمَا يُمْكِنُ مِنَ الْحَيْضِ:
Chapter. If a woman gets menses thrice a month. Can we believe a woman if she says she is menstruating or pregnant, and whatever is related to menses.
Show diacritics
Hadith Number: Q325-2
لقول الله تعالى ‏{‏ولا يحل لهن ان يكتمن ما خلق الله في ارحامهن‏}‏‏.‏
Kyunke Allah Tabarak wa Ta’ala ne (Surah al-Baqarah mein) farmaya hai ke un ke liye jaiz nahi ke jo kuch Allah Ta’ala ne un ke reham mein paida kiya hai woh use chhupayen. (Lehaza jis tarah yeh bayan qabil-e-tasleem ho ga usi tarah haiz ke mutaliq bhi un ka bayan mana jaye ga). 104656


Show diacritics
Hadith Number: Q325
ويذكر عن علي، وشريح، إن امراة جاءت ببينة من بطانة اهلها ممن يرضى دينه انها حاضت ثلاثا في شهر صدقت، وقال عطاء: اقراؤها ما كانت، وبه قال إبراهيم: وقال عطاء: الحيض يوم إلى خمس عشرة، وقال معتمر: عن ابيه، سالت ابن سيرين، عن المراة ترى الدم بعد قرئها بخمسة ايام، قال: النساء اعلم بذلك.
Aur Ali Razi Allah Anhu aur Qazi Shuraih se manqool hai ke agar aurat ke gharane ka koi aadmi gawahi de aur woh deendar bhi ho ke yeh aurat ek mahina mein teen martaba haiza hoti hai to us ki tasdeeq ki jaye gi aur Ata bin Abi Rabah ne kaha ke aurat ke haiz ke din itne hi qabil-e-tasleem hon ge jitne pehle (is ki aadat ke tehat) hote thay. (Yani talaq waghera se pehle) Ibrahim Nakhi ne bhi yehi kaha hai aur Ata ne kaha ke haiz kam se kam ek din aur zyada se zyada pandrah din tak ho sakta hai. Muatamir apne walid Sulaiman ke hawala se bayan karte hain ke unhon ne Ibn Sireen se ek aisi aurat ke mutaliq poocha jo apni aadat ke mutabiq haiz aa jaane ke panch din baad khoon dekhti hai to Aap ne farmaya ke auratein is ka zyada ilm rakhti hain. 104657


Show diacritics
Hadith Number: 325
حدثنا احمد ابن ابي رجاء، قال: حدثنا ابو اسامة، قال: سمعت هشام بن عروة، قال: اخبرني ابي، عن عائشة، ان فاطمة بنت ابي حبيش سالت النبي صلى الله عليه وسلم، قالت: إني استحاض فلا اطهر افادع الصلاة؟ فقال:" لا، إن ذلك عرق، ولكن دعي الصلاة قدر الايام التي كنت تحيضين فيها، ثم اغتسلي وصلي".
Hum se Ahmad bin Abi Raja ne bayan kiya, unhon ne kaha humein Abu Usama ne khabar di, unhon ne kaha main ne Hisham bin Urwah se suna, kaha mujhe mere walid ne Aisha Razi Allah Anha ke wasita se khabar di ke Fatima bint Abi Hubaish Razi Allah Anha ne Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam se poocha ke mujhe istihaza ka khoon aata hai aur main paak nahi ho pati, to kya main namaz chhod diya karoon? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya nahi. Yeh to ek rag ka khoon hai, haan itne dinon mein namaz zaroor chhod diya kar jin mein is bemari se pehle tumhe haiz aaya karta tha. Phir ghusl kar ke namaz padha karo. 104658


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain