الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الْحَيْضِ
The Book of Menses (Menstrual Periods)
بَابُ شُهُودِ الْحَائِضِ الْعِيدَيْنِ، وَدَعْوَةَ الْمُسْلِمِينَ، وَيَعْتَزِلْنَ الْمُصَلَّى:
Chapter. The participation of menstruating women in the two Eid festivals and in religious gatherings of Muslims and their isolation from the Musalla (praying place).
Show diacritics
Hadith Number: 324
حدثنا محمد هو ابن سلام، قال: اخبرنا عبد الوهاب، عن ايوب، عن حفصة، قالت: كنا نمنع عواتقنا ان يخرجن في العيدين، فقدمت امراة فنزلت قصر بني خلف، فحدثت عن اختها، وكان زوج اختها غزا مع النبي صلى الله عليه وسلم ثنتي عشرة غزوة، وكانت اختي معه في ست، قالت: كنا نداوي الكلمى، ونقوم على المرضى، فسالت اختي النبي صلى الله عليه وسلم: اعلى إحدانا باس إذا لم يكن لها جلباب ان لا تخرج؟ قال: لتلبسها صاحبتها من جلبابها، ولتشهد الخير ودعوة المسلمين، فلما قدمت ام عطية سالتها، اسمعت النبي صلى الله عليه وسلم؟ قالت: بابي نعم، وكانت لا تذكره إلا قالت: بابي سمعته يقول:" يخرج العواتق وذوات الخدور او العواتق ذوات الخدور، والحيض وليشهدن الخير ودعوة المؤمنين، ويعتزل الحيض المصلى"، قالت حفصة: فقلت: الحيض، فقالت: اليس تشهد عرفة وكذا وكذا.
Hum se Muhammed bin Salaam Bekandi ne bayan kiya, kaha hum se Abdul Wahhaab Saqafi ne Ayyub Sikhtiyaani se, woh Hafsa bint-e-Sireen se, unhon ne farmaaya ke hum apni kunwaari jawaan bachchiyon ko eidgaah jaane se rokti thien, phir ek aurat aayi aur bani khalaf ke mahal mein utri aur unhon ne apni bahen (Umm-e-Atiyyah) ke hawaale se bayan kiya, jin ke shauhar Nabi-e-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ke saath baarah ladaaiyon mein shareek huwe the aur khud un ki apni bahen apne shauhar ke saath chhe jangon mein gayi thien. Unhon ne bayan kiya ke hum zakhmiyon ki marham patti kiya karti thien aur mareezon ki khabargeeri bhi karti thien. Meri bahen ne ek martaba Nabi-e-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam se poocha ke agar hum mein se kisi ke paas chaadar na ho to kya us ke liye is mein koi harj hai ke woh (Namaz-e-Eid ke liye) bahar na nikle. Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya us ki saathi aurat ko chaahiye ke apni chaadar ka kuch hissah use bhi udhaa de, phir woh khair ke mawaqe’ par aur musalmaanon ki duaon mein shareek hon, (yani eidgaah jaayen) phir jab Umm-e-Atiyyah Radhiallahu Anha aayein to main ne un se bhi yahi sawaal kiya. Unhon ne farmaaya, mera baap aap par fida ho, haan Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne yeh farmaaya tha. Aur Umm-e-Atiyyah Radhiallahu Anha jab bhi Nabi-e-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ka zikr kartien to yeh zaroor farmaatien ke mera baap Aap Sallallahu Alaihi Wasallam par fida ho. (Unhon ne kaha) main ne Aap ko yeh kehte huwe suna tha ke jawaan ladkiyaan, pardah waaliyan aur haaiza aurtein bhi bahar niklien aur khair ke mawaqe’ mein aur musalmaanon ki duaon mein shareek hon aur haaiza aurat jaa-e-namaz se door rahe. Hafsa kehti hain, main ne poocha kya haaiza bhi? To unhon ne farmaaya ke woh Arafaat mein aur falaan falaan jagah nahi jaati. Yani jab woh in muqaddas maqamaat mein jaati hain to phir eidgaah kiun na jaayen.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain