الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب تَفْسِيرِ الْقُرْآنِ
The Book of Commentary
بَابُ: {مِنْهُ آيَاتٌ مُحْكَمَاتٌ}:
Chapter.“In it are Verses that are entirely clear." (V.3:7)
Show diacritics
Hadith Number: Q4547
وقال مجاهد: الحلال والحرام واخر متشابهات يصدق بعضه بعضا، كقوله تعالى: وما يضل به إلا الفاسقين سورة البقرة آية 26 وكقوله جل ذكره ويجعل الرجس على الذين لا يعقلون سورة يونس آية 100 وكقوله: والذين اهتدوا زادهم هدى وآتاهم تقواهم سورة محمد آية 17 زيغ: شك ابتغاء الفتنة المشتبهات، والراسخون في العلم سورة آل عمران آية 7 يعلمون يقولون آمنا به كل من عند ربنا وما يذكر إلا اولو الالباب سورة آل عمران آية 7.
Mujahid ne kaha «muhkamaatun» se halal o haram ki aayatein murad hain . «wa ukharu mutashabihaatun» ka matlab yeh hai ke doosri aayatein jo ek doosri se milti julti hain . Ek ki ek tasdeeq karti hai , jaisi yeh aayat hain «wa ma yudillu bihi illal fasiqeen» aur «wa yaj'alur rijsa alallazhina la ya'qiloon» aur «wallazhina-htadau zaadahum huda» in teenon aayaton mein kisi halal o haram ka byaan nahi hai to mutashaba thehrein . «zayghun» ka maani shakk . «ibtigha'al fitnati» mein fitna se murad mutashabihaat ki pairwi karna , un ke matlab ka khoj karna hai . «warrasikhoona» yani jo log pukhta ilm wale hain woh kehte hain ke hum is par iman le aaye yeh sab hamare Rabb ki taraf se hain .


Show diacritics
Hadith Number: 4547
حدثنا عبد الله بن مسلمة، حدثنا يزيد بن إبراهيم التستري، عن ابن ابي مليكة، عن القاسم بن محمد، عن عائشة رضي الله عنها، قالت: تلا رسول الله صلى الله عليه وسلم هذه الآية هو الذي انزل عليك الكتاب منه آيات محكمات هن ام الكتاب واخر متشابهات فاما الذين في قلوبهم زيغ فيتبعون ما تشابه منه ابتغاء الفتنة وابتغاء تاويله وما يعلم تاويله إلا الله والراسخون في العلم يقولون آمنا به كل من عند ربنا وما يذكر إلا اولو الالباب سورة آل عمران آية 7، قالت: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" فإذا رايت الذين يتبعون ما تشابه منه فاولئك الذين سمى الله فاحذروهم".
Hum se Abdullah bin Maslamah Qanabi ne byaan kiya , hum se Yazid bin Ibrahim Tustari ne byaan kiya , un se Ibn Abi Mulaykah ne , un se Qasim bin Muhammad ne aur un se Aisha razi Allahu anha ne ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne is aayat ki tilawat ki «huwallazhi anzala alaykal kitaba minhu aayatun muhkamaatun hunna ummul kitabi wa ukharu mutashabihaatun fa-ammallazhina fee quloobihim zayghun fayat-tabioona ma tashabaha minhu-btigha'al fitnati wabtigha'a ta'weelihi» yani ”woh wahi Allah hai jis ne tujh par kitab utari hai , is mein muhkam aayatein hain aur wahi kitab ka asal daromadar hain aur doosri aayatein mutashaba hain . So woh log jin ke dilon mein chir-pan hai . Woh is ke isi hisse ke peeche lag jate hain jo mutashaba hain , fitne ki talash mein aur is ki ghalat tawil ki talash mein .“ Aakhir aayat «ulul albaab» tak . Aisha razi Allahu anha ne kaha ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke jab tum aise logon ko dekho jo mutashaba aayaton ke peeche pare huay hon to yaad rakho ke yeh wahi log hain jin ka Allah Ta'ala ne (aayat e bala mein) zikr farmaya hai . Is liye un se bachte raho .


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain