الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب مَنَاقِبِ الْأَنْصَارِ
The Merits of Al-Ansar
بَابُ قَوْلِ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: «اللَّهُمَّ أَمْضِ لأَصْحَابِي هِجْرَتَهُمْ» . وَمَرْثِيَتِهِ لِمَنْ مَاتَ بِمَكَّةَ:
Chapter. The statement of the Prophet:“O Allah! Complete the emigration of my Companions,”and his lamentation for those (emigrants) who died in Makkah.
Hadith Number: 3936
حدثنا يحيى بن قزعة، حدثنا إبراهيم، عن الزهري، عن عامر بن سعد بن مالك، عن ابيه، قال: عادني النبي صلى الله عليه وسلم عام حجة الوداع من مرض اشفيت منه على الموت، فقلت: يا رسول الله بلغ بي من الوجع ما ترى , وانا ذو مال ولا يرثني إلا ابنة لي واحدة افاتصدق بثلثي مالي، قال:" لا"، قال: فاتصدق بشطره، قال:" الثلث يا سعد والثلث كثير , إنك ان تذر ذريتك اغنياء خير من ان تذرهم عالة يتكففون الناس , ولست بنافق نفقة تبتغي بها وجه الله إلا آجرك الله بها , حتى اللقمة تجعلها في في امراتك"، قلت: يا رسول الله اخلف بعد اصحابي، قال:" إنك لن تخلف فتعمل عملا تبتغي بها وجه الله إلا ازددت به درجة ورفعة، ولعلك تخلف حتى ينتفع بك اقوام ويضر بك آخرون , اللهم امض لاصحابي هجرتهم , ولا تردهم على اعقابهم" , لكن البائس سعد بن خولة يرثي له رسول الله صلى الله عليه وسلم ان توفي بمكة. وقال احمد بن يونس , وموسى: عن إبراهيم،" ان تذر ورثتك".
Hum se Yahya Bin Qaza'ah ne bayan kiya, kaha hum se Ibrahim Bin Saad ne bayan kiya, un se Zuhri ne, un se Aamir Bin Saad Bin Malik aur un se in ke walid Saad Bin Abi Waqqas Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Hajjat-ul-Wida 10 Hijri ke mauqa par meri mizaj pursi ke liye tashreef laye. Is marz mein mere bachne ki koi umeed nahi rahi thi. Mein ne arz kiya: Ya Rasul Allah! Marz ki shiddat aap khud mulahiza farma rahe hain, mere paas mal bahut hai aur sirf meri ek larki waris hai to kya mein apne do tihayi mal ka sadqa kar doon? Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ke nahi. Mein ne arz kiya phir aadhe ka kar doon? Farmaya ke Saad! Bas ek tihayi ka kar do, ye bhi bahut hai. To agar apni aulad ko maldar chor kar jaye to ye is se behtar hai ke unhein muhtaj chore aur wo logon ke samne hath phailate phirein. Ahmad Bin Yunus ne bayan kiya, un se Ibrahim Bin Saad ne ke tum apni aulad ko chor kar jo kuch bhi kharch karo ge aur is se Allah Ta'ala ki raza mandi maqsood ho gi to Allah Ta'ala tumhein is ka sawab de ga, Allah tumhein is luqma par bhi sawab de ga jo tum apni biwi ke munh mein dalo ge. Mein ne poocha: Ya Rasul Allah! Kya mein apne sathiyon se peeche Makkah mein reh jaoon ga. Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ke tum peeche nahi raho ge aur tum jo bhi amal karo ge aur is se maqsood Allah Ta'ala ki raza mandi ho gi to tumhara martaba is ki wajah se buland hota rahe ga aur shayad tum abhi bahut dinon tak zinda raho ge tum se bahut se logon (musalmanon) ko nafa pahunche ga aur bahuton ko (ghair-musalmanon) nuqsan ho ga. Ay Allah! Mere Sahaba ki hijrat poori kar de aur unhein ulte paon wapas na kar (ke wo hijrat ko chor kar apne gharon ko wapas aa jayein) albatta Saad Bin Khawlah nuqsan mein par gaye aur Ahmad Bin Yunus aur Musa Bin Ismail ne is hadees ko Ibrahim Bin Saad se riwayat kiya is mein (apni aulad zurriyat ko choro, ke bajaye) tum apne warison ko choro ye alfaz marwi hain
.
.
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة