الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الْحَيْضِ
The Book of Menses (Menstrual Periods)
بَابُ تَقْضِي الْحَائِضُ الْمَنَاسِكَ كُلَّهَا إِلاَّ الطَّوَافَ بِالْبَيْتِ:
Chapter. A menstruating woman should perform all the ceremonies of Hajj except the Tawaf around the Kabah.
Show diacritics
Hadith Number: Q305
وقال إبراهيم: لا باس ان تقرا الآية، ولم ير ابن عباس بالقراءة للجنب باسا، وكان النبي صلى الله عليه وسلم يذكر الله على كل احيانه، وقالت ام عطية: كنا نؤمر ان يخرج الحيض فيكبرن بتكبيرهم ويدعون، وقال ابن عباس: اخبرني ابو سفيان، ان هرقل دعا بكتاب النبي صلى الله عليه وسلم فقرا، فإذا فيه، بسم الله الرحمن الرحيم و ياهل الكتاب تعالوا إلى كلمة سواء سورة آل عمران آية 64، وقال عطاء: عن جابر، حاضت عائشة فنسكت المناسك غير الطواف بالبيت ولا تصلي"، وقال الحكم: إني لاذبح وانا جنب، وقال الله عز وجل: ولا تاكلوا مما لم يذكر اسم الله عليه سورة الانعام آية 121
Ibrahim ne kaha ke Aayat padhne mein koi harj nahi aur Abdullah bin Abbas Radhiallahu Anhuma junubi ke liye Quran-e-Majeed padhne mein koi harj nahi samajhte the. Aur Nabi-e-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam har waqt Allah ka zikr kiya karte the. Umm-e-Atiyyah ne farmaaya hamein hukm hota tha ke hum haiz waali aurton ko bhi (eid ke din) bahar nikaalein. Pas woh mardon ke saath takbeer kehtien aur dua kartien. Ibn-e-Abbas Radhiallahu Anhuma ne farmaaya ke un se Abu Sufyan ne bayan kiya ke Hiraql ne Nabi-e-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ke giraami naama ko talab kiya aur use padha. Us mein likha huwa tha.“Shuru karta hun main Allah ke naam se jo bada meharbaan nihayat rahem waala hai.”Aur“Aye kitaab waalo! Ek aise Kalime ki taraf aao jo hamaare aur tumhaare darmiyaan mushtarak hai ke hum Allah ke siwa kisi ki bandagi na karen aur us ka kisi ko shareek na thehraayen.”Allah Tabaaraka-wa-Ta’ala ke qaul «مُسْلِمُوْن» tak. Ata ne Jabir ke hawaale se bayan kiya ke Aisha Radhiallahu Anha ko (Hajj mein) haiz aa gaya to aap ne tamaam manaasik poore kiye siwaaye Baitullah ke Tawaaf ke aur aap Namaz bhi nahi padhti thien aur Hakam ne kaha main junubi hone ke bawjood zabah karta hun jab ke Allah Ta’ala ne farmaaya hai «وَلا تَأْكُلُوا مِمَّا لَمْ يُذْكَرِ اسْمُ اللَّهِ عَلَيْهِ» ke jis zabeeha par Allah ka naam na liya gaya ho use na khaao.


Show diacritics
Hadith Number: 305
حدثنا ابو نعيم، قال: حدثنا عبد العزيز بن ابي سلمة، عن عبد الرحمن بن القاسم، عن القاسم بن محمد، عن عائشة، قالت: خرجنا مع النبي صلى الله عليه وسلم لا نذكر إلا الحج، فلما جئنا سرف طمثت، فدخل علي النبي صلى الله عليه وسلم وانا ابكي، فقال: ما يبكيك؟ قلت: لوددت والله اني لم احج العام، قال: لعلك نفست؟ قلت: نعم، قال:" فإن ذلك شيء كتبه الله على بنات آدم، فافعلي ما يفعل الحاج غير ان لا تطوفي بالبيت حتى تطهري".
Hum se Abu Nu’aim Fazl bin Dukain ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Abdul ’Aziz bin Abi Salamah ne bayan kiya, unhon ne Abdur Rahman bin Qasim se, unhon ne Qasim bin Muhammed se, woh Aisha Radhiallahu Anha se, aap ne farmaaya ke hum Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ke saath Hajj ke liye is tarah nikle ke hamaari zabaano par Hajj ke alawah aur koi zikr hi na tha. Jab hum maqam-e-Sarif pahunche to mujhe haiz aa gaya. (Is gham se) main ro rahi thi ke Nabi-e-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam tashreef laaye, Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne poocha ke kiun ro rahi ho? Main ne kaha kaash! Main is saal Hajj ka iradah hi na karti. Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya shayad tumhein haiz aa gaya hai. Main ne kaha ji haan. Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya yeh cheez to Allah Ta’ala ne Adam ki betiyon ke liye muqarrar kar di hai. Is liye tum jab tak paak na ho jaao Tawaaf-e-Baitullah ke alawah Haajiyon ki tarah tamaam kaam anjaam do.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain