الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب أَحَادِيثِ الْأَنْبِيَاءِ
The Book of The Stories of The Prophets
بَابٌ:
Chapter.
Show diacritics
Hadith Number: 3476
حدثنا آدم، حدثنا شعبة، حدثنا عبد الملك بن ميسرة، قال: سمعت النزال بن سبرة الهلالي، عن ابن مسعود رضي الله عنه، قال: سمعت رجلا قرا آية، وسمعت النبي صلى الله عليه وسلم يقرا خلافها فجئت به النبي صلى الله عليه وسلم فاخبرته فعرفت في وجهه الكراهية، وقال:" كلاكما محسن ولا تختلفوا فإن من كان قبلكم اختلفوا فهلكوا".
Hum se Adam Bin Abi Iyas ne bayan kiya, kaha hum se Shuba ne bayan kiya, kaha hum se Abdul Malik Bin Maisarah ne bayan kiya, kaha ke mein ne Nazzal Bin Sabrah Hilali se suna aur un se Abdullah Bin Masood (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke mein ne ek sahabi (Amr Bin Al-Aas) ko Quran Majeed ki ek aayat parhte suna. Wohi aayat Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) se is ke khilaf qiraat ke sath mein sun chuka tha, is liye mein unhein sath le kar Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki khidmat mein hazir hua aur Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) se ye waqia bayan kiya lekin mein ne Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke chehra mubarak par is ki wajah se narazgi ke aasar dekhe. Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya tum dono accha parhte ho. Aapas mein ikhtilaf na kiya karo. Tum se pehle log isi qism ke jhagron se tabah ho gaye
.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 3477
حدثنا عمر بن حفص، حدثنا ابي، حدثنا الاعمش، قال: حدثني شقيق، قال عبد الله: كاني انظر إلى النبي صلى الله عليه وسلم يحكي" نبيا من الانبياء ضربه قومه فادموه وهو يمسح الدم عن وجهه، ويقول: اللهم اغفر لقومي فإنهم لا يعلمون".
Hum se Umar Bin Hafs ne bayan kiya, kaha hum se mere baap Hafs Bin Ghiyas ne bayan kiya, kaha hum se Amash ne bayan kiya ke ke mujh se Shaqiq Bin Salamah ne bayan kiya ke Abdullah Bin Masood (Radi Allahu Anhu) ne kaha mein goya Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ko is waqt dekh raha hoon. Aap Bani Israel ke ek Nabi ka waqia bayan kar rahe thay ke un ki qoum ne unhein mara aur khoon alood kar diya. Lekin wo Nabi khoon saaf karte jate aur ye dua karte «Allahum-maghfir li-qoumi» ke ae Allah! Meri qoum ki maghfirat farma. Ye log jante nahi hain
.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 3478
حدثنا ابو الوليد، حدثنا ابو عوانة، عن قتادة، عن عقبة بن عبد الغافر، عن ابي سعيد رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم:" ان رجلا كان قبلكم رغسه الله مالا، فقال: لبنيه لما حضر اي اب كنت لكم، قالوا: خير اب، قال: فإني لم اعمل خيرا قط فإذا مت فاحرقوني ثم اسحقوني ثم ذروني في يوم عاصف ففعلوا فجمعه الله عز وجل فقال: ما حملك، قال: مخافتك، فتلقاه برحمته، وقال معاذ، حدثنا شعبة، عن قتادة سمعت عقبة بن عبد الغافر، سمعت ابا سعيد الخدري، عن النبي صلى الله عليه وسلم.
Hum se Abu Al-Walid ne bayan kiya, kaha hum se Abu Awana ne bayan kiya, un se Qatada ne un se Uqbah Bin Abdul Ghafir ne un se Abu Saeed Khudri (Radi Allahu Anhu) ne aur un se Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne ke guzashta ummaton mein ek aadmi ko Allah Ta'ala ne khoob doulat di thi. Jab is ki mout ka waqt aaya to is ne apne beton se poocha mein tumhare haq mein kaisa baap sabit hua? Beton ne kaha ke aap hamare behtareen baap thay. Is shakhs ne kaha lekin mein ne umr bhar koi naik kaam nahi kiya. Is liye jab mein mar jaoon to mujhe jala dalna, phir meri haddiyon ko pees dalna aur (raakh ko) kisi sakht aandhi ke din hawa mein ura dena. Beton ne aisa hi kiya. Lekin Allah Paak ne ise jama kiya aur poocha ke tu ne aisa kyun kiya? Is shakhs ne arz kiya ke parwardigar tere hi khauf se chunancha Allah Ta'ala ne ise apne sayah-e-rahmat mein jagah di. Is hadees ko Muaz Anbari ne bayan kiya ke hum se Shuba ne bayan kiya, un se Qatada ne, unhon ne Uqbah Bin Abdul Ghafir se suna, unhon ne Abu Saeed Khudri (Radi Allahu Anhu) se aur unhon ne Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) se
.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 3479
حدثنا مسدد، حدثنا ابو عوانة، عن عبد الملك بن عمير، عن ربعي بن حراش، قال: قال عقبة لحذيفة الا تحدثنا ما سمعت من النبي صلى الله عليه وسلم، قال: سمعته يقول:" إن رجلا حضره الموت لما ايس من الحياة اوصى اهله إذا مت فاجمعوا لي حطبا كثيرا، ثم اوروا نارا حتى إذا اكلت لحمي وخلصت إلى عظمي فخذوها فاطحنوها فذروني في اليم في يوم حار او راح فجمعه الله، فقال: لم فعلت، قال: خشيتك فغفر له"، قال عقبة: وانا سمعته، يقول: حدثنا موسى، حدثنا ابو عوانة، حدثنا عبد الملك، وقال: في يوم راح".
Hum se Musaddad ne bayan kiya kaha, hum se Abu Awana ne un se Abdul Malik Bin Umair ne, un se Rabee Bin Hirash ne bayan kiya ke Uqbah Bin Amr Abu Masood Ansari ne Huzaifah (Radi Allahu Anhu) se kaha ke aap ne Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) se jo hadeesein suni hain wo aap hum se kyun bayan nahi karte? Huzaifah (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke mein ne Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ko ye kehte suna tha ke ek shakhs ki mout ka waqt jab qareeb hua aur wo zindagi se bilkul naamid ho gaya to apne ghar walon ko wasiyat ki ke jab meri mout ho jaye to pehle mere liye bahut si lakriyan jama karna aur is se aag jalana. Jab aag mere jism ko khakastar bana chuke aur sirf haddiyan baqi reh jayein to haddiyon ko pees lena aur kisi sakht garmi ke din mein ya (yun farmaya ke) sakht hawa ke din mujh ko hawa mein ura dena. Lekin Allah Ta'ala ne ise jama kiya aur poocha ke tu ne aisa kyun kiya tha? Is ne kaha ke tere hi darr se. Aakhir Allah Ta'ala ne is ko bakhsh diya. Uqbah (Radi Allahu Anhu) ne kaha ke mein ne bhi Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ko farmate hue ye hadees suni hai. Hum se Musa ne bayan kiya kaha hum se Abu Awana ne bayan kiya kaha hum se Abdul Malik ne bayan kiya aur kaha ke is riwayat mein «fi yaumin ra-hin» hai (siwa shak ke) is ke maani bhi kisi taiz hawa ke din ke hain
.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 3480
حدثنا عبد العزيز بن عبد الله، حدثنا إبراهيم بن سعد، عن ابن شهاب، عن عبيد الله بن عبد الله بن عتبة، عن ابي هريرة، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" كان الرجل يداين الناس فكان، يقول لفتاه: إذا اتيت معسرا فتجاوز عنه لعل الله ان يتجاوز عنا، قال: فلقي الله فتجاوز عنه".
Hum se Abdul Aziz Bin Abdullah ne bayan kiya, kaha hum se Ibrahim Bin Saad ne bayan kiya un se Ibn Shihab ne un se Ubaidullah Bin Abdullah Bin Utbah ne aur un se Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Ek shakhs logon ko qarz diya karta tha aur apne nokaron ko is ne ye keh rakkha tha ke jab tum kisi ko muflis pao (jo mera qarz dar ho) to ise maaf kar diya karo. Mumkin hai Allah Ta'ala bhi humein maaf farma de." Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Jab wo Allah Ta'ala se mila to Allah ne ise bakhsh diya
."


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 3481
حدثني عبد الله بن محمد، حدثنا هشام، اخبرنا معمر، عن الزهري، عن حميد بن عبد الرحمن، عن ابي هريرة رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" كان رجل يسرف على نفسه فلما حضره الموت، قال: لبنيه إذا انا مت فاحرقوني ثم اطحنوني ثم ذروني في الريح فوالله لئن قدر علي ربي ليعذبني عذابا ما عذبه احدا، فلما مات فعل به ذلك فامر الله الارض، فقال: اجمعي ما فيك منه ففعلت فإذا هو قائم، فقال: ما حملك على ما صنعت؟، قال: يا رب خشيتك فغفر له، وقال غيره مخافتك يا رب".
Hum se Abdullah Bin Muhammad Musandi ne bayan kiya kaha hum se Hisham ne bayan kiya kaha hum ko Maamar ne khabar di, unhein Zuhri ne unhein Humaid Bin Abdur Rahman ne aur unhein Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Ek shakhs bahut gunah kiya karta tha jab is ki mout ka waqt qareeb aaya to apne beton se is ne kaha ke jab mein mar jaoon to mujhe jala dalna phir meri haddiyon ko pees kar hawa mein ura dena Allah ki qasam! Agar mere Rabb ne mujhe pakar liya to mujhe itna sakht azab kare ga jo pehle kisi ko bhi is ne nahi kiya hoga. Jab wo mar gaya to (is ki wasiyat ke mutabiq) is ke sath aisa hi kiya gaya. Allah Ta'ala ne zameen ko hukam farmaya ke agar ek zarra bhi kaheen is ke jism ka tere pas hai to ise jama kar ke la. Zameen hukam baja layi aur wo banda ab (apne Rabb ke samne) khara hua tha. Allah Ta'ala ne daryaft farmaya: Tu ne aisa kyun kiya? Is ne arz kiya: Ae Rabb! Tere darr ki wajah se. Aakhir Allah Ta'ala ne is ki maghfirat kar di. Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ke siwa doosre Sahaba ne is hadees mein lafz «khashyatika» ke badal «makhafatika» kaha hai (dono lafzon ka matlab ek hi hai)
.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 3482
حدثني عبد الله بن محمد بن اسماء، حدثنا جويرية بن اسماء، عن نافع، عن عبد الله بن عمر رضي الله عنهما، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" عذبت امراة في هرة سجنتها حتى ماتت فدخلت فيها النار لا هي اطعمتها، ولا سقتها إذ حبستها، ولا هي تركتها تاكل من خشاش الارض".
Mujh se Abdullah Bin Muhammad Bin Asma ne bayan kiya kaha hum se Juwairiyah Bin Asma ne bayan kiya, un se Nafay ne un se Abdullah Bin Umar (Radi Allahu Anhuma) ne ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya " (Bani Israel ki) ek aurat ko ek billi ki wajah se azab diya gaya tha jise is ne qaid kar rakkha tha jis se wo billi mar gayi thi aur is ki saza mein wo aurat dozakh mein gayi. Jab wo aurat billi ko baandhe hue thi to is ne ise khane ke liye koi cheez na di, na peene ke liye aur na is ne billi ko chora hi ke wo zameen ke kiray makoray hi kha leti
."


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 3483
حدثنا احمد بن يونس، عن زهير، حدثنا منصور، عن ربعي بن حراش، حدثنا ابو مسعود عقبة، قال: قال النبي صلى الله عليه وسلم:" إن مما ادرك الناس من كلام النبوة إذا لم تستحي فافعل ما شئت".
Hum se Ahmad Bin Yunus ne bayan kiya, un se Zuhair ne kaha hum se Mansoor ne bayan kiya un se Rabee Bin Hirash ne kaha hum se Abu Masood Uqbah Bin Amr (Radi Allahu Anhu) ne kaha ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Logon ne agle paighambaron ke kalam jo paye un mein ye bhi hai ke jab tujh mein haya na ho to phir jo ji chahe kar
."


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 3484
حدثنا آدم، حدثنا شعبة، عن منصور، قال: سمعت ربعي بن حراش يحدث، عن ابي مسعود، قال النبي صلى الله عليه وسلم:" إن مما ادرك الناس من كلام النبوة إذا لم تستحي فاصنع ما شئت".
Hum se Adam Bin Abi Iyas ne bayan kiya, kaha hum se Shuba ne bayan kiya un se Mansoor ne bayan kiya unhon ne kaha mein ne Rabee Bin Hirash se suna wo Abu Masood Ansari (Radi Allahu Anhu) se riwayat karte thay ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Agle paighambaron ke kalam mein se logon ne jo paya ye bhi hai ke jab tujh mein haya na ho phir jo ji chahe kar
."


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 3485
حدثنا بشر بن محمد، اخبرنا عبيد الله، اخبرنا يونس، عن الزهري، اخبرني سالم، ان ابن عمر حدثه، ان النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" بينما رجل يجر إزاره من الخيلاء خسف به فهو يتجلجل في الارض إلى يوم القيامة، تابعه عبد الرحمن بن خالد، عن الزهري.
Hum se Bishr Bin Muhammad ne bayan kiya, kaha hum ko Abdullah Bin Mubarak ne khabar di, kaha hum ko Yunus ne khabar di, unhein Zuhri ne, unhein Salim ne khabar di aur un se Ibn Umar (Radi Allahu Anhuma) ne bayan kiya ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Ek shakhs takabbur ki wajah se apna tehband zameen se ghasitta hua ja raha tha ke ise zameen mein dhansa diya aur ab wo qiyamat tak yun hi zameen mein dhans-ta chala jaye ga." Yunus ke sath is hadees ko Abdur Rahman Bin Khalid ne bhi Zuhri se riwayat kiya hai
.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain