الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب أَحَادِيثِ الْأَنْبِيَاءِ
The Book of The Stories of The Prophets
بَابُ حَدِيثِ الْخَضِرِ مَعَ مُوسَى- عَلَيْهِمَا السَّلاَمُ-:
Chapter. The story of Al-Khidr with Musa (Moses).
Hadith Number: 3400
حدثنا عمرو بن محمد، حدثنا يعقوب بن إبراهيم، قال: حدثني ابي، عن صالح، عن ابن شهاب، ان عبيد الله بن عبد الله، اخبره، عن ابن عباس، انه تمارى هو والحر بن قيس الفزاري في صاحب موسى، قال ابن عباس: هو خضر فمر بهما ابي بن كعب، فدعاه ابن عباس، فقال: إني تماريت انا وصاحبي هذا في صاحب موسى الذي سال السبيل إلى لقيه، هل سمعت رسول الله صلى الله عليه وسلم يذكر شانه، قال: نعم، سمعت رسول الله صلى الله عليه وسلم، يقول:" بينما موسى في ملإ من بني إسرائيل جاءه رجل، فقال: هل تعلم احدا اعلم منك، قال: لا فاوحى الله إلى موسى بلى عبدنا خضر فسال موسى السبيل إليه فجعل له الحوت آية، وقيل له: إذا فقدت الحوت فارجع فإنك ستلقاه فكان يتبع الحوت في البحر، فقال: لموسى فتاه ارايت إذ اوينا إلى الصخرة فإني نسيت الحوت وما انسانيه إلا الشيطان ان اذكره، فقال موسى: ذلك ما كنا نبغ فارتدا على آثارهما قصصا فوجدا خضرا فكان من شانهما الذي قص الله في كتابه".
Hum se Umar Bin Muhammad ne bayan kiya kaha hum se Yaqub Bin Ibrahim ne bayan kiya kaha ke mujh se mere walid ne bayan kiya un se Salih ne un se Ibn Shihab ne unhein Ubaidullah Bin Abdullah ne khabar di aur unhein Ibn Abbas (Radi Allahu Anhuma) ne ke Hur Bin Qais Fazari (Radi Allahu Anhu) se sahib-e-Musa (Alaihis Salam) ke baare mein un ka ikhtilaf hua. Phir Ubayy Bin Kaab (Radi Allahu Anhu) wahan se guzre to Abdullah Bin Abbas (Radi Allahu Anhuma) ne unhein bulaya aur kaha ke mera apne in saathi se sahib-e-Musa (Alaihis Salam) ke baare mein ikhtilaf ho gaya hai jin se mulaqat ke liye Musa (Alaihis Salam) ne rasta poocha tha kya Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) se aap ne un ke baare mein kuch suna hai? Unhon ne farmaya ke jee haan mein ne Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ko ye farmate suna tha ke Musa (Alaihis Salam) Bani Israel ki ek jamaat mein tashreef rakhte thay ke ek shakhs ne un se poocha, kya aap kisi aise shakhs ko jante hain jo is tamam zameen par aap se zyada ilm rakhne wala ho? Unhon ne farmaya ke nahi. Is par Allah Ta'ala ne Musa (Alaihis Salam) par wahi nazil ki ke kyun nahi hamara banda Khizar hai. Musa (Alaihis Salam) ne un tak pahunchne ka rasta poocha to unhein machli ko is ki nishani ke taur par bataya gaya aur kaha gaya ke jab machli gum ho jaye (to jahan gum hui ho wahan) wapas aa jana waheen un se mulaqat hogi. Chunancha Musa (Alaihis Salam) darya mein (safar ke douran) machli ki barabar nigrani karte rahe. Phir un se un ke rafeeq-e-safar ne kaha ke aap ne khayal nahi kiya jab hum chattan ke pas thehre to mein machli ke mutaliq aap ko batana bhool gaya tha aur mujhe Shaitan ne ise yaad rakhne se ghafil rakkha. Musa (Alaihis Salam) ne farmaya ke isi ki to humein talash hai chunancha ye buzurg isi raste se peeche ki taraf loute aur Khizar (Alaihis Salam) se mulaqat hui un dono ke hi wo halat hain jinhein Allah Ta'ala ki kitab mein bayan farmaya hai
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 3401
حدثنا علي بن عبد الله، حدثنا سفيان، حدثنا عمرو بن دينار، قال: اخبرني سعيد بن جبير، قال: قلت: لابن عباس إن نوفا البكالي يزعم ان موسى صاحب الخضر ليس هو موسى بني إسرائيل إنما هو موسى آخر، فقال: كذب عدو الله حدثنا ابي بن كعب، عن النبي صلى الله عليه وسلم،" ان موسى قام خطيبا في بني إسرائيل فسئل اي الناس اعلم، فقال: انا فعتب الله عليه إذ لم يرد العلم إليه، فقال له: بلى لي عبد بمجمع البحرين هو اعلم منك، قال: اي رب ومن لي به وربما، قال سفيان: اي رب وكيف لي به، قال: تاخذ حوتا فتجعله في مكتل حيثما فقدت الحوت فهو ثم وربما، قال: فهو ثمه واخذ حوتا فجعله في مكتل، ثم انطلق هو وفتاه يوشع بن نون حتى إذا اتيا الصخرة وضعا رءوسهما فرقد موسى واضطرب الحوت فخرج فسقط في البحر فاتخذ سبيله في البحر سربا فامسك الله عن الحوت جرية الماء فصار مثل الطاق، فقال: هكذا مثل الطاق فانطلقا يمشيان بقية ليلتهما ويومهما حتى إذا كان من الغد، قال: لفتاه آتنا غداءنا لقد لقينا من سفرنا هذا نصبا ولم يجد موسى النصب حتى جاوز حيث امره الله، قال: له فتاه ارايت إذ اوينا إلى الصخرة فإني نسيت الحوت وما انسانيه إلا الشيطان ان اذكره واتخذ سبيله في البحر عجبا فكان للحوت سربا ولهما عجبا، قال: له موسى ذلك ما كنا نبغي فارتدا على آثارهما قصصا رجعا يقصان آثارهما حتى انتهيا إلى الصخرة فإذا رجل مسجى بثوب فسلم موسى فرد عليه، فقال: وانى بارضك السلام، قال: انا موسى، قال موسى بني إسرائيل، قال: نعم، اتيتك لتعلمني مما علمت رشدا، قال: يا موسى إني على علم من علم الله علمنيه الله لا تعلمه وانت على علم من علم الله علمكه الله لا اعلمه، قال: هل اتبعك، قال: إنك لن تستطيع معي صبرا وكيف تصبر على ما لم تحط به خبرا إلى قوله إمرا سورة الكهف آية 68 - 71 فانطلقا يمشيان على ساحل البحر فمرت بهما سفينة كلموهم ان يحملوهم فعرفوا الخضر فحملوه بغير نول فلما ركبا في السفينة جاء عصفور فوقع على حرف السفينة فنقر في البحر نقرة او نقرتين، قال له: الخضر يا موسى ما نقص علمي وعلمك من علم الله إلا مثل ما نقص هذا العصفور بمنقاره من البحر إذ اخذ الفاس فنزع لوحا، قال: فلم يفجا موسى إلا وقد قلع لوحا بالقدوم، فقال: له موسى ما صنعت قوم حملونا بغير نول عمدت إلى سفينتهم فخرقتها لتغرق اهلها لقد جئت شيئا إمرا، قال: الم اقل إنك لن تستطيع معي صبرا سورة الكهف آية 72، قال: لا تؤاخذني بما نسيت ولا ترهقني من امري عسرا سورة الكهف آية 73 فكانت الاولى من موسى نسيانا فلما خرجا من البحر مروا بغلام يلعب مع الصبيان فاخذ الخضر براسه فقلعه بيده هكذا واوما سفيان باطراف اصابعه كانه يقطف شيئا، فقال: له موسى اقتلت نفسا زكية بغير نفس لقد جئت شيئا نكرا، قال: الم اقل لك إنك لن تستطيع معي صبرا سورة الكهف آية 75، قال: إن سالتك عن شيء بعدها فلا تصاحبني قد بلغت من لدني عذرا {76} فانطلقا حتى إذا اتيا اهل قرية استطعما اهلها فابوا ان يضيفوهما فوجدا فيها جدارا يريد ان ينقض سورة الكهف آية 75-76 مائلا اوما بيده هكذا واشار سفيان كانه يمسح شيئا إلى فوق فلم اسمع سفيان يذكر مائلا إلا مرة، قال: قوم اتيناهم فلم يطعمونا ولم يضيفونا عمدت إلى حائطهم لو شئت لاتخذت عليه اجرا، قال: هذا فراق بيني وبينك سانبئك بتاويل ما لم تستطع عليه صبرا سورة الكهف آية 78، قال النبي صلى الله عليه وسلم:" وددنا ان موسى كان صبر فقص الله علينا من خبرهما، قال: سفيان، قال النبي صلى الله عليه وسلم:" يرحم الله موسى لو كان صبر لقص علينا من امرهما وقرا ابن عباس امامهم 0 ملك ياخذ كل سفينة صالحة غصبا واما الغلام فكان كافرا وكان ابواه مؤمنين 0، ثم قال لي سفيان: سمعته منه مرتين وحفظته منه، قيل لسفيان حفظته قبل ان تسمعه من عمرو او تحفظته من إنسان، فقال: ممن اتحفظه ورواه احد، عن عمرو غيري سمعته منه مرتين او ثلاثا وحفظته منه.
Hum se Ali Bin Abdullah Madini ne bayan kiya kaha hum se Sufyan Bin Uyainah ne bayan kiya kaha hum se Amr Bin Dinar ne bayan kiya kaha ke mujhe Saeed Bin Jubair ne khabar di unhon ne kaha ke mein ne Ibn Abbas (Radi Allahu Anhuma) se arz kiya ke Nouf Bikali ye kehta hai ke Musa, sahib-e-Khizar Bani Israel ke Musa nahi hain balkay wo doosre Musa hain. Ibn Abbas (Radi Allahu Anhuma) ne kaha ke dushman-e-Allah ne bilkul ghalat baat kahi hai. Ubayy Bin Kaab (Radi Allahu Anhu) ne Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) se riwayat karte hue hum se bayan kiya ke Musa (Alaihis Salam) Bani Israel ko kharay ho kar khitab farma rahe thay ke un se poocha gaya kaun sa shakhs sab se zyada ilm wala hai. Unhon ne farmaya ke mein. Is par Allah Ta'ala ne un par itab farmaya kyunke unhon ne ilm ki nisbat Allah Ta'ala ki taraf nahi ki. Allah Ta'ala ne un se farmaya ke kyun nahi mera ek banda hai jahan do darya aa kar milte hain wahan rehta hai aur tum se zyada ilm wala hai. Unhon ne arz kiya: Ae Rabb-ul-Alameen! Mein un se kis tarah mil sakoon ga? Sufyan ne (apni riwayat mein ye alfaz) bayan kiye ke "Ae Rabb! «wa kaifa li bihi» " Allah Ta'ala ne farmaya ke ek machli pakar kar ise apne thaile mein rakh lena jahan wo machli gum ho jaye bas mera banda waheen tum ko mile ga. Baaz dafa rawi ne (bajaye «fahuwa thamma» ke) «fahuwa thummah» kaha. Chunancha Musa (Alaihis Salam) ne machli le li aur ise ek thaile mein rakh liya. Phir wo aur ek un ke rafeeq-e-safar Yusha Bin Noon rawana hue jab ye chattan par pahunche to sar se taik lagali Musa (Alaihis Salam) ko neend aa gayi aur machli tarap kar nikli aur darya ke andar chali gayi aur is ne darya mein apna rasta bana liya. Allah Ta'ala ne machli se pani ke bahao ko rok diya aur wo mihrab ki tarah ho gayi unhon ne wazeh kiya ke yun mihrab ki tarah. Phir ye dono is din aur raat ke baqi hisse mein chalte rahe jab doosra din aya to Musa (Alaihis Salam) ne apne rafeeq-e-safar se farmaya ke ab hamara khana lao kyunke hum apne safar mein bahut thak gaye hain. Musa (Alaihis Salam) ne is waqt tak koi thakan mehsoos nahi ki thi jab tak wo is muqarrara jagah se aage na barh gaye jis ka Allah Ta'ala ne unhein hukam diya tha. Un ke rafeeq ne kaha ke dekhiye to sahi jab chattan par utre thay to mein machli (ke mutaliq kehna) aap se bhool gaya aur mujhe is ki yaad se Shaitan ne ghafil rakkha aur is machli ne to waheen (chattan ke qareeb) darya mein apna rasta ajeeb taur par bana liya tha. Machli ko to rasta mil gaya aur ye dono hairan thay. Musa (Alaihis Salam) ne farmaya ke yehi wo jagah thi jis ki talash mein hum nikle hain. Chunancha ye dono isi raste se peeche ki taraf wapas hue aur jab is chattan par pahunche to wahan ek buzurg apna sara jism ek kapre mein lapete hue maujood thay. Musa (Alaihis Salam) ne unhein salam kiya aur unhon ne jawab diya phir kaha ke tumhare khitte mein salam ka rawaj kahan se aa gaya? Musa (Alaihis Salam) ne farmaya ke mein Musa hoon. Unhon ne poocha, Bani Israel ke Musa? Farmaya ke jee haan. Mein aap ki khidmat mein is liye hazir hua hoon ke aap mujhe wo ilm-e-nafi sikha dein jo aap ko sikhaya gaya hai. Unhon ne farmaya: Ae Musa! Mere pas Allah ka diya hua ek ilm hai Allah Ta'ala ne mujhe wo ilm sikhaya hai aur aap is ko nahi jante. Isi tarah aap ke pas Allah ka diya hua ek ilm hai Allah Ta'ala ne aap ko sikhaya hai aur mein ise nahi janta. Musa (Alaihis Salam) ne kaha: Kya mein aap ke sath reh sakta hoon unhon ne kaha ke aap mere sath sabar nahi kar sakein ge aur waqai aap in kaamon ke baare mein sabar kar bhi kaise sakte hain jo aap ke ilm mein nahi hain. Allah Ta'ala ke irshad «imran» tak aakhir Musa aur Khizar (Alaihimus Salam) darya ke kinare kinare chale. Phir un ke qareeb se ek kashti guzri. In hazrat ne kaha ke unhein bhi kashti wale kashti par sawar kar lein. Kashti walon ne Khizar (Alaihis Salam) ko pehchan liya aur koi mazdoori liye baghair un ko sawar kar liya. Jab ye hazrat is par sawar ho gaye to ek chiriya aayi aur kashti ke ek kinare baith kar is ne pani mein apni chonch ko ek ya do martaba dala. Khizar (Alaihis Salam) ne farmaya: Ae Musa! Mere aur aap ke ilm ki wajah se Allah ke ilm mein itni bhi kami nahi hui jitni is chiriya ke darya mein chonch maarne se darya ke pani mein kami hui hogi. Itne mein Khizar (Alaihis Salam) ne kulhari uthayi aur is kashti mein se ek takhta nikal liya. Musa (Alaihis Salam) ne jo nazar uthayi to wo apni kulhari se takhta nikal chuke thay. Is par Musa (Alaihis Salam) bol pare ke ye aap ne kya kiya? Jin logon ne humein baghair kisi ujrat ke sawar kar liya unhein ki kashti par aap ne buri nazar dali aur ise cheer diya ke sare kashti wale doob jayein. Is mein koi shuba nahi ke aap ne nihayat nagowar kaam kiya. Khizar (Alaihis Salam) ne farmaya: Kya mein ne aap se pehle hi nahi keh diya tha ke aap mere sath sabar nahi kar sakte. Musa (Alaihis Salam) ne farmaya ke (ye be-sabri apne waade ko bhool jane ki wajah se hui is liye) aap is cheez ka mujh se muakhaza na karein jo mein bhool gaya tha aur mere maamle mein tangi na farmayein. Ye pehli baat Musa (Alaihis Salam) se bhool kar hui thi phir jab daryayi safar khatam hua to un ka guzar ek bacche ke pas se hua jo doosre bacchon ke sath khel raha tha. Khizar (Alaihis Salam) ne is ka sar pakar kar apne hath se (dhar se) juda kar diya. Sufyan ne apne hath se (juda karne ki kaifiyat batane ke liye) ishara kiya jaise wo koi cheez tor rahe hon. Is par Musa (Alaihis Salam) ne farmaya ke aap ne ek jaan ko zaya kar diya. Kisi doosri jaan ke badle mein bhi ye nahi tha. Bilashuba aap ne ek bura kaam kiya. Khizar (Alaihis Salam) ne farmaya: Kya mein ne aap se pehle hi nahi kaha tha ke aap mere sath sabar nahi kar sakte. Musa (Alaihis Salam) ne kaha: Accha is ke baad agar mein ne aap se koi baat poochhi to phir aap mujhe sath na le chaliye ga, beshak aap mere baare mein had-e-uzr ko pahunch chuke hain. Phir ye dono aage barhe aur jab ek basti mein pahunche to basti walon se kaha ke wo unhein apna mehman bana lein lekin unhon ne inkar kiya. Phir is basti mein unhein ek diwar dikhayi di jo bas girne hi wali thi. Khizar (Alaihis Salam) ne apne hath se yun ishara kiya. Sufyan ne (kaifiyat batane ke liye) is tarah ishara kiya jaise wo koi cheez upar ki taraf pher rahe hon. Mein ne Sufyan se «ma-ilan» ka lafz sirf ek martaba suna tha. Musa (Alaihis Salam) ne kaha ke ye log to aise thay ke hum un ke yahan aaye aur unhon ne hamari mezbani se bhi inkar kiya. Phir un ki diwar aap ne theek kar di agar aap chahte to is ki ujrat un se le sakte thay. Khizar (Alaihis Salam) ne farmaya ke bas yahan se mere aur aap ke darmiyan judayi ho gayi jin baaton par aap sabar nahi kar sakte mein un ki taweel-o-taujeeh ab tum par wazeh kar doon ga. Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya hamari to khwahish ye thi ke Musa (Alaihis Salam) sabar karte aur Allah Ta'ala takweeni waqiaat hamare liye bayan karta. Sufyan ne bayan kiya ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya: Allah Ta'ala Musa (Alaihis Salam) par raham kare agar unhon ne sabar kiya hota to un ke (mazeed waqiaat) humein maloom hote. Ibn Abbas (Radi Allahu Anhuma) ne (jumhoor ki qiraat «wa-waraihim» ke bajaye) «amamahum malikun yakhuzu kulla safinatin salihatin ghasban» parha hai. Aur wo baccha (jis ki Khizar (Alaihis Salam) ne jaan li thi) kafir tha aur is ke walidain momin thay. Phir mujh se Sufyan ne bayan kiya ke mein ne ye hadees Amr Bin Dinar se do martaba suni thi aur unhein se (sun kar) yaad ki thi. Sufyan ne kisi se poocha tha ke kya ye hadees aap ne Amr Bin Dinar se sunne se pehle hi kisi doosre shakhs se sun kar (jis ne Amr Bin Dinar se suni ho) yaad ki thi? Ya (is ke bajaye ye jumla kaha) «tahaffaztuhu min insanin» do martaba (shak Ali Bin Abdullah ko tha) to Sufyan ne kaha ke doosre kisi shakhs se sun kar mein yaad karta kya is hadees ko Amr Bin Dinar se mere siwa kisi aur ne bhi riwayat kiya hai? Mein ne un se ye hadees do ya teen martaba suni aur unhein se sun kar yaad ki
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 3402
حدثنا محمد بن سعيد الاصبهاني، اخبرنا ابن المبارك، عن معمر، عن همام بن منبه، عن ابي هريرة رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" إنما سمي الخضر انه جلس على فروة بيضاء فإذا هي تهتز من خلفه خضراء".
Hum se Muhammad Bin Saeed Asbahani ne bayan kiya kaha hum ko Abdullah Bin Mubarak ne khabar di unhein Maamar ne unhein Hammam Bin Munabbih ne aur unhein Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Khizar (Alaihis Salam) ka ye naam is wajah se hua ke wo ek sookhi zameen (jahan sabzi ka naam bhi na tha) par baithe. Lekin joun hi wo wahan se uthe to wo jagah sarsabz ho kar lehlehane lagi."
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة