الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الْجِزْيَةِ والموادعہ
The Book of Al-Jizya and The Stoppage of War
بَابُ مَا يُحْذَرُ مِنَ الْغَدْرِ:
Chapter. Caution against treachery.
Show diacritics
Hadith Number: Q3176
وقوله تعالى: {وإن يريدوا ان يخدعوك فإن حسبك الله} الآية.
Aur Allah Ta'ala ne farmaya "wa-in yuridu ay-yakh-dauka fa-inna hasba-kallahu" " Aur agar ye kafir log Aap ko dhoka dena chahein (Ae Nabi!) to Allah Aap ke liye kafi hai." Akheer ayat tak
.


Show diacritics
Hadith Number: 3176
حدثنا الحميدي، حدثنا الوليد بن مسلم، حدثنا عبد الله بن العلاء بن زبر، قال: سمعت بسر بن عبيد الله، انه سمع ابا إدريس، قال:سمعت عوف بن مالك، قال: اتيت النبي صلى الله عليه وسلم في غزوة تبوك وهو في قبة من ادم، فقال:" اعدد ستا بين يدي الساعة موتي، ثم فتح بيت المقدس، ثم موتان ياخذ فيكم كقعاص الغنم، ثم استفاضة المال حتى يعطى الرجل مائة دينار فيظل ساخطا، ثم فتنة لا يبقى بيت من العرب إلا دخلته، ثم هدنة تكون بينكم وبين بني الاصفر فيغدرون فياتونكم تحت ثمانين غاية تحت كل غاية اثنا عشر الفا".
Mujh se Humaidi ne bayan kiya, kaha hum se Waleed Bin Muslim ne bayan kiya, kaha hum se Abdullah Bin Alaa Bin Zubair ne bayan kiya, unhon ne bayan kiya ke mein ne Busr Bin Ubaidullah se suna, unhon ne Abu Idrees se suna, kaha ke mein ne Auf Bin Malik (Radi Allahu Anhu) se suna, Aap ne bayan kiya ke mein Ghazwa Tabuk ke mauqa par Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki khidmat mein hazir hua, Aap is waqt chamde ke ek khaime mein tashreef farma thay. Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya, ke Qiyamat ki che nishaniyan shumar kar lo, meri maut, phir Bait-ul-Muqaddas ki fatah, phir ek waba jo tum mein shiddat se phailegi jaise bakriyon mein taun phail jata hai. Phir mal ki kasrat is darja mein hogi ke ek shakhs so dinar bhi agar kisi ko dega to is par bhi wo naraz hoga. Phir fitna itna tabah kun aam hoga ke Arab ka koi ghar baqi na rahega jo is ki lapait mein na aa gaya hoga. Phir sulah jo tumhare aur Bani-ul-Asfar (Nasara-e-Rome) ke darmiyan hogi, lekin wo dagha kareinge aur ek azeem lashkar ke sath tum par chadhai kareinge. Is mein assi jhande honge aur har jhande ke matahat barah hazar fauj hogi (yaani nau lakh sath hazar fauj se wo tum par hamla-awar honge)
.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain