الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الْجِهَادِ وَالسِّيَرِ
The Book of Jihad (Fighting For Allah’S Cause)
بَابُ الْحِرَاسَةِ فِي الْغَزْوِ فِي سَبِيلِ اللَّهِ:
Chapter. Vigilance during holy battles in Allah’s Cause.
Show diacritics
Hadith Number: 2885
حدثنا إسماعيل بن خليل، اخبرنا علي بن مسهر، اخبرنا يحيى بن سعيد، اخبرنا عبد الله بن عامر بن ربيعة، قال: سمعت عائشةرضي الله عنها، تقول: كان النبي صلى الله عليه وسلم" سهر فلما قدم المدينة، قال: ليت رجلا من اصحابي صالحا يحرسني الليلة إذ سمعنا صوت سلاح، فقال: من هذا، فقال: انا سعد بن ابي وقاص جئت لاحرسك، ونام النبي صلى الله عليه وسلم.
Hum se Ismail Bin Khalil ne bayan kiya, kaha hum ko Ali Bin Mushir ne khabar di, kaha hum ko Yahya Bin Saeed ne khabar di, kaha hum ko Abdullah Bin Rabia Bin Aamir ne khabar di, kaha ke mein ne Aisha (Radi Allahu Anha) se suna, aap bayan karti thiin ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne (ek raat) bedari mein guzari, Madinah pahunchne ke baad Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Kash! Mere ashab mein se koi naik mard aisa hota jo raat bhar hamara pahra deta!" Abhi yahi batein ho rahi thiin ke hum ne hathiyar ki jhankaar suni. Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne daryaft farmaya "Ye kaun sahab hain?" (Aane wale ne) kaha mein hoon Saad Bin Abi Waqas, aap ka pahra dene ke liye hazir hua hoon. Phir Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) khush hue. Un ke liye dua farmai aur aap so gaye
.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 2886
حدثنا يحيى بن يوسف، اخبرنا ابو بكر يعني ابن عياش عن ابي حصين، عن ابي صالح، عن ابي هريرة رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" تعس عبد الدينار والدرهم، والقطيفة، والخميصة إن اعطي رضي وإن لم يعط، لم يرض"، لم يرفعه إسرائيل، ومحمد بن جحادة، عن ابي حصين.
Hum se Yahya Bin Yusuf ne bayan kiya, kaha hum ko Abu Bakr ne khabar di, unhein Abu Husain ne, unhein Abu Salih aur unhein Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Ashrafi ka banda, rupaye ka banda, chadar ka banda, kambal ka banda halak hua ke agar use kuch de diya jaye tab to khush ho jata hai aur agar nahi diya jaye to naraz ho jata hai." Is hadees ko Israeel aur Muhammad Bin Jihada ne Abu Husain se marfu nahi kiya
.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 2887
وزادنا عمرو، قال: اخبرنا عبد الرحمن بن عبد الله بن دينار، عن ابيه، عن ابي صالح، عن ابي هريرة، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" تعس عبد الدينار، وعبد الدرهم، وعبد الخميصة، إن اعطي رضي وإن لم يعط سخط تعس وانتكس، وإذا شيك فلا انتقش طوبى لعبد آخذ بعنان فرسه في سبيل الله اشعث راسه مغبرة قدماه، إن كان في الحراسة كان في الحراسة، وإن كان في الساقة كان في الساقة، إن استاذن لم يؤذن له، وإن شفع لم يشفع" قال: ابو عبد الله لم يرفعه إسرائيل ومحمد بن جحادة عن ابي حصين، وقال: تعسا كانه يقول فاتعسهم الله طوبى فعلى من كل شيء طيب وهي ياء حولت إلى الواو وهي من يطيب.
Aur Amr Ibn Marzooq ne hum se barha kar bayan kiya, unhon ne kaha hum ko Abdur Rahman Bin Abdullah Bin Dinar ne khabar di, unhon ne apne baap se, unhon ne Abu Salih se, unhon ne Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) se, unhon ne Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) se, Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Ashrafi ka banda aur rupaye ka banda aur kambal ka banda tabah hua, agar is ko kuch diya jaye tab to khush jab na diya jaye to gussa ho jaye, aisa shakhs tabah sar-nigoon hua. Is ko kanta lage to Allah kare phir na nikle. Mubarak ka mustahiq hai wo banda jo Allah ke raste mein (ghazwah ke mauqe par) apne ghore ki lagam thame hue hai, is ke sar ke baal praganda hain aur is ke qadam gard o ghubar se ate hue hain, agar use chauki pahre par laga diya jaye to wo apne is kaam mein poori tandehi se laga rahe aur agar lashkar ke peeche (dekh bhaal ke liye) laga diya jaye to is mein bhi poori tandehi aur farz shanasi se laga rahe. (Agarche zindagi mein ghurbat ki wajah se is ki koi ahmiyat bhi na ho ke) agar wo kisi se mulaqat ki ijazat chahe to use ijazat bhi na mile aur agar kisi ki sifarish kare to is ki sifarish bhi qabool na ki jaye." Abu Abdullah (Imam Bukhari Rahimahullah) ne kaha ke Israeel aur Muhammad Bin Jihada ne Abu Husain se ye riwayat marfuan nahi bayan ki hai aur kaha ke Quran Majeed mein jo lafz «tesa» aaya hai goya yun kehna chahiye ke «fat eshm allh .» (Allah unhein giraye halak kare) «twba fely» ke wazan par hai har acchi aur tayyib cheez ke liye. Wao asal mein ya tha (tayyiba) phir ya ko wao se badal diya gaya aur ye tayyib se nikla hai
.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain