الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الْجِهَادِ وَالسِّيَرِ
The Book of Jihad (Fighting For Allah’S Cause)
بَابُ الْخَيْلُ لِثَلاَثَةٍ:
Chapter. Horses (are kept) for three (purposes).
Hadith Number: Q2860
وقوله تعالى: {والخيل والبغال والحمير لتركبوها وزينة}.
Aur ghore, khachar aur gadhe (Allah Ta'ala ne paida kiye) taake tum un par sawar bhi hua karo aur zeenat bhi rahe.
.
.
Hadith Number: 2860
حدثنا عبد الله بن مسلمة، عن مالك، عن زيد بن اسلم، عن ابي صالح السمان، عن ابي هريرة رضي الله عنه، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" الخيل لثلاثة لرجل اجر ولرجل ستر، وعلى رجل وزر فاما الذي له اجر، فرجل ربطها في سبيل الله، فاطال في مرج او روضة، فما اصابت في طيلها ذلك من المرج او الروضة كانت له حسنات، ولو انها قطعت طيلها فاستنت شرفا او شرفين كانت ارواثها وآثارها حسنات له، ولو انها مرت بنهر فشربت منه ولم يرد ان يسقيها كان ذلك حسنات له، ورجل ربطها فخرا ورئاء ونواء لاهل الإسلام فهي وزر على ذلك، وسئل رسول الله صلى الله عليه وسلم عن الحمر، فقال: ما انزل علي فيها إلا هذه الآية الجامعة الفاذة فمن يعمل مثقال ذرة خيرا يره {7} ومن يعمل مثقال ذرة شرا يره {8} سورة الزلزلة آية 7-8".
Hum se Abdullah Bin Maslama ne bayan kiya, un se Imam Malik (Rahimahullah) ne, un se Zaid Bin Aslam ne, un se Abu Salih Samman ne aur un se Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke ghore ke malik teen tarah ke log hote hain. Baaz logon ke liye wo baais-e-ajar o sawab hain, baazon ke liye wo sirf parda hain aur baazon ke liye wabal-e-jaan hain. Jis ke liye ghora ajar o sawab ka baais hai ye wo shakhs hai jo Allah ke raste mein jihad ki niyat se ise palta hai phir jahan khoob chari hoti hai ya (ye farmaya ke) kisi shadab jagah is ki rassi ko khoob lambi kar ke bandhta hai (taake charon taraf char sake) to ghora is ki chari ki jagah se ya is shadab jagah se apni rassi mein bandha hua jo kuch bhi khata pita hai malik ko is ki wajah se nekiyan milti hain aur agar wo ghora apni rassi tura kar ek zaghan ya do zaghan lagaye to is ki leed aur is ke qadmon ke nishanon mein bhi malik ke liye nekiyan hain aur agar wo ghora nahr se guzre aur is mein se pani pi le to agarche malik ne pani pilane ka irada na kiya ho phir bhi is se ise nekiyan milti hain, doosra shakhs wo hai jo ghore ko fakhr, dikhawe aur ahl-e-Islam ki dushmani mein bandhta hai to ye is ke liye wabal-e-jaan hai aur Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) se gadhon ke mutalliq poocha gaya to Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke mujh par is jame aur munfarid aayat ke siwa un ke mutalliq aur kuch nazil nahi hua «fmn yemel msqal zrh khyra yrh * wmn yemel msqal zrh shra yrh» "Jo koi ek zarra barabar bhi neki kare ga is ka badla paye ga aur jo koi zarra barabar burayi kare ga is ka badla paye ga."
.
.
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة