الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الْوَصَايَا
The Book of Wasaya (Wills and Testaments)
بَابُ قَضَاءِ الْوَصِيِّ دُيُونَ الْمَيِّتِ بِغَيْرِ مَحْضَرٍ مِنَ الْوَرَثَةِ:
Chapter. The payments of the debts of the deceased by the executor (of the will) in the absence of other inheritors.
Hadith Number: 2781
حدثنا محمد بن سابق، او الفضل بن يعقوب عنه، حدثنا شيبان ابو معاوية، عن فراس، قال: قال الشعبي، حدثني جابر بن عبد الله الانصاري رضي الله عنهما، ان اباه استشهد يوم احد، وترك ست بنات، وترك عليه دينا، فلما حضر جداد النخل، اتيت رسول الله صلى الله عليه وسلم، فقلت: يا رسول الله، قد علمت ان والدي استشهد يوم احد، وترك عليه دينا كثيرا، وإني احب ان يراك الغرماء، قال: اذهب فبيدر كل تمر على ناحيته، ففعلت، ثم دعوته، فلما نظروا إليه اغروا بي تلك الساعة، فلما راى ما يصنعون اطاف حول اعظمها بيدرا ثلاث مرات، ثم جلس عليه، ثم قال: ادع اصحابك، فما زال يكيل لهم حتى ادى الله امانة والدي، وانا والله راض ان يؤدي الله امانة والدي، ولا ارجع إلى اخواتي بتمرة، فسلم والله البيادر كلها حتى اني انظر إلى البيدر الذي عليه رسول الله صلى الله عليه وسلم كانه لم ينقص تمرة واحدة".
Hum se Muhammad Bin Sabiq ne bayan kiya ya Fazl Bin Yaqoob ne Muhammad Bin Sabiq se (ye shak khud Imam Bukhari Rahimahullah ko hai) kaha hum se Shaiban Bin Abdur Rahman Abu Muawiyah ne bayan kiya ' un se Firas Bin Yahya ne bayan kiya ' un se Shabi ne bayan kiya aur un se Jabir Bin Abdullah Ansari (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke un ke walid (Abdullah Radi Allahu Anhu) Uhud ki larayi mein shaheed ho gaye thay. Apne peeche che larkiyan chorri theen aur qarz bhi. Jab khajoor ke phal torne ka waqt aya to mein Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki khidmat mein hazir hua aur arz kiya ya Rasul Allah! Aap ko ye maloom hi hai ke mere walid-e-majid Uhud ki larayi mein shaheed ho chuke hain aur bahut zyada qarz chor gaye hain ' mein chahta tha ke qarz khwah aap ko dekh lein (taake qarz mein kuch riayat kar dein) lekin wo Yahoodi thay aur wo nahi mane ' is liye Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke jao aur khaliyan mein har qism ki khajoor alag alag kar lo jab mein ne aisa hi kar liya to Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ko bulaya ' qarz khwahon ne Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ko dekh kar aur zyada sakhti shuru kar di thi. Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne jab ye tarz-e-amal mulahiza farmaya to sab se bare khajoor ke dher ke gird Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne teen chakkar lagaye aur wahin baith gaye phir farmaya ke apne qarz khwahon ko bulao. Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne naap naap kar dena shuru kiya aur wallah mere walid ki tamam amanat ada kar di ' Allah gawah hai ke mein itne par bhi razi tha ke Allah Ta'ala mere walid ka tamam qarz ada kar de aur mein apni behnon ke liye ek khajoor bhi is mein se na le jaoon lekin hua ye ke dher ke dher bach rahe aur mein ne dekha ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) jis dher par baithe hue thay is mein se to ek khajoor bhi nahi di gayi thi. Abu Abdullah Imam Bukhari Rahimahullah ne kaha ke «Aghru Bi» (hadees mein alfaz) ke maani hain ke mujh par bharakne aur sakhti karne lage. Isi maani mein Quran Majeed ki ayat «Fa'aghraina Bainahumul Adawata Wal-Baghda'a» mein «Fa'aghraina» hai
.
.
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة