الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الْوُضُوءِ
The Book of Wudu (Ablution)
بَابُ مَا يَقَعُ مِنَ النَّجَاسَاتِ فِي السَّمْنِ وَالْمَاءِ:
Chapter. An-Najasat (impure and filthy things) which fall in cooking butter (ghee - which is obtained by evaporating moisture from butter) and water.
Show diacritics
Hadith Number: Q235
وقال الزهري: لا باس بالماء ما لم يغيره طعم او ريح او لون، وقال حماد: لا باس بريش الميتة، وقال الزهري في عظام الموتى نحو الفيل وغيره: ادركت ناسا من سلف العلماء يمتشطون بها ويدهنون فيها لا يرون به باسا وقال ابن سيرين، وإبراهيم: ولا باس بتجارة العاج.
Zohri ne kaha ke jab tak paani ki bu, zaaiqa aur rang na badle, us mein kuch harj nahi aur Hammad kehte hain ke (paani mein) murdaar parindon ke par (pad jaane) se kuch harj nahi hota. Murdon ki jaise haathi waghera ki haddiyan is ke baare mein Zohri kehte hain ke main ne pehle logon ko ulama-e-Salaf mein se un ki kanghiyan karte aur un (ke bartanon) mein tail rakhte huwe dekha hai, woh us mein kuch harj nahi samjhte the. Ibn-e-Sireen aur Ibrahim kehte hain ke haathi ke daant ki tijaarat mein kuch harj nahi.


Show diacritics
Hadith Number: 235
حدثنا إسماعيل، قال: حدثني مالك، عن ابن شهاب الزهري، عن عبيد الله بن عبد الله، عن ابن عباس، عن ميمونة، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم سئل عن فارة سقطت في سمن؟ فقال:" القوها وما حولها، فاطرحوه وكلوا سمنكم".
Hum se Ismail ne bayan kiya, unhon ne kaha mujh ko Malik ne Ibn-e-Shihaab ke waaste se riwayat ki, woh Ubaidullah bin Abdullah bin ’Utbah bin Mas’ood se, woh Abdullah bin Abbas Radhiallahu Anhuma se woh Umm-ul-Mo’mineen Maimunah Radhiallahu Anha se riwayat karte hain ke Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam se chuhe ke baare mein poocha gaya jo ghee mein gir gaya tha. Farmaaya us ko nikaal do aur us ke aas paas (ke ghee) ko nikaal phenko aur apna (baaqi) ghee iste’maal karo.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 236
حدثنا علي بن عبد الله، قال: حدثنا معن، قال: حدثنا مالك، عن ابن شهاب، عن عبيد الله بن عبد الله بن عتبة بن مسعود، عن ابن عباس، عن ميمونة، ان النبي صلى الله عليه وسلم سئل عن فارة سقطت في سمن؟ فقال:" خذوها وما حولها فاطرحوه"، قال معن: حدثنا مالك ما لا احصيه، يقول: عن ابن عباس، عن ميمونة.
Hum se ’Ali bin Abdullah ne bayan kiya, kaha hum se Ma’n ne, kaha hum se Malik ne Ibn-e-Shihaab ke waaste se bayan kiya, woh Ubaidullah Ibn-e-Abdullah bin ’Utbah bin Mas’ood se, woh Ibn-e-Abbas Radhiallahu Anhuma se woh Maimunah Radhiallahu Anha se naql karte hain ke Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam se chuhe ke baare mein daryaaft kiya gaya jo ghee mein gir gaya tha. Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya ke us chuhe ko aur us ke aas paas ke ghee ko nikaal kar phenk do. Ma’n kehte hain ke Malik ne itni baar ke main gin nahi sakta (yeh Hadees) Ibn-e-Abbas se aur unhon ne Maimunah Radhiallahu Anha se riwayat ki hai.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 237
حدثنا احمد بن محمد، قال: اخبرنا عبد الله، قال: اخبرنا معمر، عن همام بن منبه، عن ابي هريرة، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" كل كلم يكلمه المسلم في سبيل الله يكون يوم القيامة كهيئتها، إذ طعنت تفجر دما اللون لون الدم، والعرف عرف المسك".
Hum se Ahmad bin Muhammed ne bayan kiya, unhon ne kaha hamein Abdullah ne khabar di, unhon ne kaha mujhe Ma’mar ne Hammam bin Munabbih se khabar di aur woh Abu Hurairah Radhiallahu Anhu se riwayat karte hain, woh Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam se ke Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya har zakhm jo Allah ki raah mein musalmaan ko lage woh qiyamat ke din usi haalat mein hoga jis tarah woh laga tha. Us mein se khoon behta hoga. Jis ka rang (to) khoon ka sa hoga aur khusbhoo mushk ki si hogi.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain