الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الْوَصَايَا
The Book of Wasaya (Wills and Testaments)
بَابُ الْوَصِيَّةِ بِالثُّلُثِ:
Chapter. To will one-third of one’s property.
Show diacritics
Hadith Number: Q2743
وقال الحسن: لا يجوز للذمي وصية، إلا الثلث، وقال الله تعالى: وان احكم بينهم بما انزل الله سورة المائدة آية 49.
Aur Imam Hasan Basri Rahimahullah ne kaha ke Zimmi kafir ke liye bhi tihayi maal se zyada ki wasiyat nafiz na hogi. Allah Ta'ala ne Surat-ul-Ma'idah mein farmaya «Wa An Ihkum Bainahum Bima Anzalallah‏» "Aap in mein ghair muslimon mein bhi is ke mutabiq faisla kijiye jo Allah Ta'ala ne aap par nazil farmaya hai."
.


Show diacritics
Hadith Number: 2743
حدثنا قتيبة بن سعيد، حدثنا سفيان، عن هشام بن عروة، عن ابيه، عن ابن عباس رضي الله عنهما، قال:" لو غض الناس إلى الربع لان رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال: الثلث والثلث كثير او كبير".
Hum se Qutaibah Bin Saeed ne bayan kiya ' kaha hum se Sufyan Bin Uyainah ne bayan kiya ' un se Hisham Bin Urwah ne ' un se un ke walid ne aur un se Ibn Abbas (Radi Allahu Anhuma) ne bayan kiya kaash! Log (wasiyat ko) chauthayi tak kam kar dete to behtar hota kyunke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya tha "Tum tihayi (ki wasiyat kar sakte ho) aur tihayi bhi bahut hai." Ya (Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne ye farmaya ke) "Ye bahut zyada raqam hai."
.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 2744
حدثنا محمد بن عبد الرحيم، حدثنا زكرياء بن عدي، حدثنا مروان، عن هاشم بن هاشم، عن عامر بن سعد، عن ابيه رضي الله عنه، قال:" مرضت، فعادني النبي صلى الله عليه وسلم، فقلت: يا رسول الله، ادع الله ان لا يردني على عقبي، قال: لعل الله يرفعك وينفع بك ناسا، قلت: اريد ان اوصي وإنما لي ابنة، قلت: اوصي بالنصف، قال: النصف كثير، قلت: فالثلث، قال: الثلث والثلث كثير او كبير، قال: فاوصى الناس بالثلث، وجاز ذلك لهم".
Hum se Muhammad Bin Abdur Raheem ne bayan kiya ' kaha hum se Zakariya Bin Adi ne bayan kiya ' un se Marwan Bin Muawiyah ne ' un se Hashim Ibn Hashim ne ' un se Aamir Bin Saad ne aur un se un ke baap Saad Bin Abi Waqqas ne bayan kiya ke mein Makkah mein bimar para to Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) meri iyadat ke liye tashreef laye. Mein ne arz kiya ya Rasul Allah! Mere liye dua kijiye ke Allah mujhe ulte paon wapas na kar de (yaani Makkah mein meri maut na ho) Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya mumkin hai ke Allah Ta'ala tumhein sehat de aur tum se bahut se log nafa uthayein. Mein ne arz kiya mera irada wasiyat karne ka hai. Ek larki ke siwa aur mere koi (aulad) nahi. Mein ne poocha kya aadhe maal ki wasiyat kar doon? Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke aadha to bahut hai. Phir mein ne poocha to tihayi ki kar doon? Farmaya ke tihayi ki kar sakte ho agarchay ye bhi bahut hai ya (ye farmaya ke) bari (raqam) hai. Chunancha log bhi tihayi ki wasiyat karne lage aur ye un ke liye jaiz ho gayi
.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain