الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الشَّهَادَاتِ
The Book of Witnesses
بَابُ الْيَمِينِ بَعْدَ الْعَصْرِ:
Chapter. The taking of an oath after the Asr prayer.
Show diacritics
Hadith Number: 2672
حدثنا علي بن عبد الله، حدثنا جرير بن عبد الحميد، عن الاعمش، عن ابي صالح، عن ابي هريرة رضي الله عنه، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" ثلاثة لا يكلمهم الله ولا ينظر إليهم ولا يزكيهم ولهم عذاب اليم: رجل على فضل ماء بطريق يمنع منه ابن السبيل، ورجل بايع رجلا لا يبايعه إلا للدنيا فإن اعطاه ما يريد وفى له وإلا لم يف له، ورجل ساوم رجلا بسلعة بعد العصر فحلف بالله لقد اعطى بها كذا وكذا فاخذها".
Hum se Ali Bin Abdullah ne bayan kiya, kaha hum se Jarir Bin Abdul Hamid ne bayan kiya Aamash se, un se Abu Salih ne aur un se Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Teen tarah ke log aise hain ke Allah Ta'ala un se baat bhi na kare ga na in ki taraf nazar utha kar dekhe ga aur na unhein pak kare ga balkay unhein sakht dard-nak azab ho ga. Ek wo shaks jo safar mein zaroorat se zyada pani le ja raha hai aur kisi musafir ko (jise pani ki zaroorat ho) na de. Doosra wo shaks jo kisi (Khalifat-ul-Muslimeen) se baiat kare aur sirf duniya ke liye baiat kare ke jis se us ne baiat ki agar wo is ka maqsad poora kar de to ye bhi wafadari se kaam le, warna is ke sath baiat-o-ahad ke khilaf kare. Teesra wo shaks jo kisi se asar ke baad kisi saman ka bhao kare aur Allah ki qasam kha le ke ise is ka itna itna rupiya mil raha tha aur khareedar is saman ko (is ki qasam ki wajah se) le le. Halankay wo jhoota hai."
.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain