الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الْهِبَةِ وَفَضْلِهَا وَالتَّحْرِيضِ عَلَيْهَا
The Book of Gifts and The Superiority of Giving Gifts and The Exhortation for Giving Gifts
بَابُ الْهَدِيَّةِ لِلْمُشْرِكِينَ:
Chapter. Giving presents to AI-Mushrikun (polytheists, idolaters, pagans).
Show diacritics
Hadith Number: Q2619
وقول الله تعالى: لا ينهاكم الله عن الذين لم يقاتلوكم في الدين ولم يخرجوكم من دياركم ان تبروهم وتقسطوا إليهم إن الله يحب المقسطين سورة الممتحنة آية 8.
Aur Allah Ta'ala ne farmaya "La yan-hakumullahu anillazina lam yuqatilookum fid-deeni wa lam ukhrijookum min diyarikum an tabarroohum wa tuqsitoo ilaihim" "Jo log tum se deen ke bare mein lare nahi aur na tumhein tumhare gharon se unhon ne nikala hai to Allah Ta'ala un ke sath ihsan karne aur un ke mamla mein insaf karne se tumhein nahi rokta."
.


Show diacritics
Hadith Number: 2619
حدثنا خالد بن مخلد، حدثنا سليمان بن بلال، قال: حدثني عبد الله بن دينار، عن ابن عمر رضي الله عنهما، قال:" راى عمرحلة على رجل تباع، فقال للنبي صلى الله عليه وسلم: ابتع هذه الحلة تلبسها يوم الجمعة، وإذا جاءك الوفد، فقال: إنما يلبس هذا من لا خلاق له في الآخرة، فاتي رسول الله صلى الله عليه وسلم منها بحلل، فارسل إلى عمر منها بحلة، فقال عمر: كيف البسها وقد قلت فيها ما قلت؟ قال: إني لم اكسكها لتلبسها تبيعها او تكسوها، فارسل بها عمر إلى اخ له من اهل مكة قبل ان يسلم".
Hum se Khalid Bin Makhlad ne bayan kiya, kaha hum se Suleman Bin Bilal ne bayan kiya, kaha ke mujh se Abdullah Bin Dinar ne bayan kiya aur un se Abdullah Bin Umar ne ke Umar (Radi Allahu Anhu) ne dekha ke ek shaks ke yahan ek reshmi jora farokht ho raha hai. To aap ne Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) se kaha ke aap ye jora khareed lijiye taake Juma ke din aur jab koi wafad aaye to aap ise pehna karein. Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke ise to wo log pehnte hain jin ka aakhirat mein koi hissa nahi hota. Phir Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke paas bahut se reshmi jore aaye aur Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne un mein se ek jora Umar (Radi Allahu Anhu) ko bheja. Umar (Radi Allahu Anhu) ne kaha ke mein ise kis tarah pehen sakta hoon jab ke aap khud hi is ke mutalliq jo kuch irshad farmana tha, farma chuke hain. Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke mein ne tumhein pehnne ke liye nahi diya balkay is liye diya ke tum ise bech do ya kisi (ghair-muslim) ko pehna do. Chunanchay Umar (Radi Allahu Anhu) ne ise Makke mein apne ek bhai ke ghar bhej diya jo abhi Islam nahi laya tha
.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 2620
حدثنا عبيد بن إسماعيل، حدثنا ابو اسامة، عن هشام، عن ابيه، عن اسماء بنت ابي بكر رضي الله عنهما، قالت:" قدمت علي امي وهي مشركة في عهد رسول الله صلى الله عليه وسلم، فاستفتيت رسول الله صلى الله عليه وسلم، قلت: وهي راغبة، افاصل امي؟ قال: نعم، صلي امك".
Hum se Ubaid Bin Ismail ne bayan kiya, kaha hum se Abu Usama ne bayan kiya Hisham se, un se un ke baap ne aur un se Asma Bint Abi Bakr (Radi Allahu Anha) ne bayan kiya ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke zamane mein meri walda (Qutaila Bint Abdul Uzza) jo mushrika theen, mere yahan aaein. Mein ne Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) se poocha, mein ne ye bhi kaha ke wo (mujh se mulaqat ki) bahut khwahish-mand hain, to kya mein apni walda ke sath sila rehmi kar sakti hoon? Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke han apni walda ke sath sila rehmi kar
.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain