الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الْعِتْقِ
The Book of Manumission (of Slaves)
بَابُ عِتْقِ الْمُشْرِكِ:
Chapter. Manumission of a Mushrik (pagan, polytheist, idolater)
Hadith Number: 2538
حدثنا عبيد بن إسماعيل، حدثنا ابو اسامة، عن هشام، اخبرني ابي، ان حكيم بن حزام رضي الله عنه" اعتق في الجاهلية مائة رقبة وحمل على مائة بعير، فلما اسلم حمل على مائة بعير، واعتق مائة رقبة، قال: فسالت رسول الله صلى الله عليه وسلم، فقلت: يا رسول الله، ارايت اشياء كنت اصنعها في الجاهلية، كنت اتحنث بها يعني اتبرر بها؟ قال: فقال رسول الله صلى الله عليه وسلم: اسلمت على ما سلف لك من خير".
Hum se Ubaid Bin Ismail ne bayan kiya, kaha hum se Abu Usama ne bayan kiya, un se Hisham ne, unhein un ke walid ne khabar di ke Hakim Bin Hizam (Radi Allahu Anhu) ne apne kufr ke zamane mein sau ghalam azad kiye thay aur sau ont logon ki sawari ke liye diye thay. Phir jab Islam laye to sau ont logon ki sawari ke liye diye aur sau ghalam azad kiye. Phir unhon ne bayan kiya ke mein ne Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) se poocha. Ya Rasul Allah! baaz in naik amaal ke mutalliq Aap ka kya khayal hai jinhon ne mein ba-niyat-e-sawab kufr ke zamana mein kiya karta tha (Hisham Bin Urwah ne kaha ke "ata-hannasu biha" ke maani "atabarraru biha" ke hain) unhon ne kaha ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne is par farmaya "Jo nekiyan tum pehle kar chuke ho wo sab qaim rahein gi."
.
.
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة