الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب فِي اللُّقَطَةِ
The Book Or Al-Luqata
بَابُ ضَالَّةِ الْغَنَمِ:
Chapter. Lost sheep.
Hadith Number: 2428
حدثنا إسماعيل بن عبد الله، قال: حدثني سليمان بن بلال، عن يحيى، عن يزيد مولى المنبعث، انه سمع زيد بن خالد رضي الله عنه، يقول:" سئل النبي صلى الله عليه وسلم عن اللقطة؟ فزعم انه قال: اعرف عفاصها ووكاءها، ثم عرفها سنة، يقول يزيد: إن لم تعرف استنفق بها صاحبها، وكانت وديعة عنده، قال يحيى: فهذا الذي لا ادري، افي حديث رسول الله صلى الله عليه وسلم هو ام شيء من عنده، ثم قال: كيف ترى في ضالة الغنم؟ قال النبي صلى الله عليه وسلم: خذها، فإنما هي لك او لاخيك او للذئب، قال يزيد: وهي تعرف ايضا، ثم قال: كيف ترى في ضالة الإبل؟ قال: فقال: دعها فإن معها حذاءها، وسقاءها ترد الماء، وتاكل الشجر حتى يجدها ربها".
Hum se Ismail Bin Abdullah ne bayan kiya, kaha ke mujh se Sulaiman Taimi ne bayan kiya, un se Yahya Bin Saeed Ansari ne, un se Manbath ke ghulam Yazid ne, unhon ne Zaid Bin Khalid se suna, unhon ne kaha ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) se luqtah ke mutalliq poocha gaya. Wo yaqeen rakhte thay ke Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya is ke bartan ki banawat aur is ke bandhan ko zehan mein rakh, phir ek saal tak is ka elan karta reh. Yazid bayan karte thay ke agar ise pehchanne wala (is arsa mein) na milay to pane wale ko apni zarooriyat mein kharch kar lena chahiye. Aur ye is ke paas amanat ke taur par ho ga. Is aakhri tukre (ke is ke paas amanat ke taur par ho ga) ke mutalliq mujhe maloom nahi ke ye Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki hadees hai ya khud unhon ne apni taraf se ye baat kahi hai. Phir poocha, rasta bhooli hui bakri ke mutalliq aap ka kya irshad hai ? Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke ise pakar lo. Wo ya tumhari ho gi (jab ke asal malik na milay) ya tumhare bhai (malik) ke paas pahunch jaye gi, ya phir ise bhediya utha lay jaye ga. Yazid ne bayan kiya ke is ka bhi elan kiya jaye ga. Phir sahabi ne poocha, rasta bhoole hue oont ke baare mein aap ka kya irshad hai ? Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke ise azad rehne do, is ke sath is ke khur bhi hain aur is ka mashkeeza bhi, khud pani par pahunch jaye ga aur khud hi darakht ke patte kha lay ga aur is tarah wo apne malik tak pahunch jaye ga
.
.
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة