الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الصَّوْمِ
The Book of As-Saum (The Fasting).
بَابُ صِيَامِ أَيَّامِ التَّشْرِيقِ:
Chapter. Observing Saum (fast) on Tashriq days (11th, 12th and 13th of Dhul-Hijjah).
Show diacritics
Hadith Number: 1996
وقال لي محمد بن المثنى: حدثنا يحيى، عن هشام، قال: اخبرني ابي،" كانت عائشة رضي الله عنها تصوم ايام التشريق بمنى، وكان ابوها يصومها.
Abu Abdullah (Imam Bukhari Rahimahullah) farmate hain ke mujh se Muhammad Bin Muthanna ne bayan kiya, kaha ke hum se Yahya Bin Saeed ne bayan kiya, un se Hisham ne bayan kiya ke mujhe mere baap Urwah ne khabar di ke Aisha (Radi Allahu Anha) Ayyam-e-Mina (Ayyam-e-Tashreeq) ke roze rakhti theen aur Hisham ke baap (Urwah) bhi in dinon mein roza rakhte thay
.

تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 1997
حدثنا محمد بن بشار، حدثنا غندر، حدثنا شعبة، سمعت عبد الله بن عيسى بن ابي ليلى، عن الزهري، عن عروة، عن عائشة، وعن سالم، عن ابن عمر رضي الله عنه، قالا:" لم يرخص في ايام التشريق ان يصمن، إلا لمن لم يجد الهدي".
Hum se Muhammad Bin Bashar ne bayan kiya, kaha ke hum se Ghundar ne bayan kiya, kaha ke hum se Shuba ne bayan kiya, unhon ne Abdullah Bin Isa se suna, unhon ne Zuhri se, unhon ne Urwah se, unhon ne Aisha (Radi Allahu Anha) se (neiz Zuhri ne is hadees ko) Salim se bhi suna, aur unhon ne Ibn Umar (Radi Allahu Anhuma) se suna (Aisha aur Ibn Umar Radi Allahu Anhum) donon ne bayan kiya ke kisi ko Ayyam-e-Tashreeq mein roza rakhne ki ijazat nahi magar is ke liye jisay qurbani ka maqdoor na ho
.

تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 1998

Hadith Number: 1999
حدثنا عبد الله بن يوسف، اخبرنا مالك، عن ابن شهاب، عن سالم بن عبد الله بن عمر، عن ابن عمر رضي الله عنه، قال:"الصيام لمن تمتع بالعمرة إلى الحج إلى يوم عرفة، فإن لم يجد هديا، ولم يصم، صام ايام منى"، وعن ابن شهاب، عن عروة، عن عائشة، مثله، تابعه إبراهيم بن سعد، عن ابن شهاب.
Hum se Abdullah Bin Yusuf ne bayan kiya, kaha ke hum ko Imam Malik (Rahimahullah) ne khabar di, unhein Ibn Shihab ne, unhein Salim Bin Abdullah Bin Umar (Radi Allahu Anhuma) ne aur un se Ibn Umar (Radi Allahu Anhuma) ne bayan kiya ke jo haji hajj aur umrah ke darmiyan tamattu kare isi ko Yaum-e-Arafa tak roza rakhne ki ijazat hai, lekin agar qurbani ka maqdoor na ho aur na is ne roza rakkha to Ayyam-e-Mina (Ayyam-e-Tashreeq) mein bhi roza rakhe. Aur Ibn Shihab ne Urwah se aur unhon ne Aisha (Radi Allahu Anha) se isi tarah riwayat ki hai. Imam Malik (Rahimahullah) ke sath is hadees ko Ibrahim Bin Saad ne bhi Ibn Shihab se riwayat kiya
.

تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain