الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب جَزَاءِ الصَّيْدِ
The Book of Penalty For Hunting
بَابُ لاَ يُعِينُ الْمُحْرِمُ الْحَلاَلَ فِي قَتْلِ الصَّيْدِ:
Chapter. A Muhrim should not help a non-Muhrim in the hunting of a game.
Show diacritics
Hadith Number: 1823
حدثنا عبد الله بن محمد، حدثنا سفيان، حدثنا صالح بن كيسان، عن ابي محمد نافع مولى ابي قتادة، سمع ابا قتادة رضي الله عنه، قال: كنا مع النبي صلى الله عليه وسلم بالقاحة من المدينة على ثلاث. ح وحدثنا علي بن عبد الله، حدثنا سفيان، حدثنا صالح بن كيسان، عن ابي محمد، عن ابي قتادة رضي الله عنه، قال:" كنا مع النبي صلى الله عليه وسلم بالقاحة، ومنا المحرم ومنا غير المحرم، فرايت اصحابي يتراءون شيئا فنظرت، فإذا حمار وحش يعني وقع سوطه، فقالوا: لا نعينك عليه بشيء إنا محرمون، فتناولته فاخذته، ثم اتيت الحمار من وراء اكمة، فعقرته فاتيت به اصحابي، فقال بعضهم: كلوا، وقال بعضهم: لا تاكلوا، فاتيت النبي صلى الله عليه وسلم وهو امامنا، فسالته، فقال: كلوه حلال"، قال لنا عمرو: اذهبوا إلى صالح فسلوه عن هذا وغيره، وقدم علينا هاهنا.
Hum se Abdullah Bin Muhammad ne bayan kiya, ke hum se Sufyan Bin Uyainah ne bayan kiya, kaha hum se Salih Bin Kaisan ne bayan kiya, un se Abu Muhammad ne, un se Abu Qatadah (Radi Allahu Anhu) ke ghulam Nafi ne, unhon ne Abu Qatadah (Radi Allahu Anhu) se suna, Aap ne farmaya ke hum Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke sath Madinah se teen manzil door maqam-e-Qahah mein thay. (Doosri sanad Imam Bukhari Rahimahullah ne) kaha ke hum se Ali Bin Abdullah ne bayan kiya, kaha ke hum se Sufyan ne bayan kiya kaha hum se Salih Bin Kaisan ne bayan kiya, un se Abu Muhammad ne aur un se Abu Qatadah (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke hum Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke sath maqam-e-Qahah mein thay, baaz to hum mein se muhrim thay aur baaz ghair muhrim. Mein ne dekha ke mere sathi ek doosre ko kuch dikha rahe hain, mein ne jo nazar uthayi to ek gor-khar samne tha, un ki murad ye thi ke un ka kora gir gaya, (aur apne sathiyon se usay uthane ke liye unhon ne kaha), lekin sathiyon ne kaha ke hum tumhari kuch bhi madad nahi kar sakte kyunke hum muhrim hain) is liye mein ne wo khud uthaya is ke baad mein is gor-khar ke nazdeek ek teele ke peeche se aya aur usay shikar kiya, phir mein usay apne sathiyon ke paas laya, baaz ne to ye kaha ke (humein bhi) kha lena chahiye lekin baaz ne kaha ke nahi khana chahiye. Phir Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki khidmat mein aya. Aap hum se aage thay, mein ne aap se masla poocha to aap ne bataya ke kha lo ye halal hai. Hum se Amr Bin Dinar ne kaha ke Salih Bin Kaisan ki khidmat mein hazir ho kar is hadees aur is ke ilawa ke mutabiq pooch sakte ho aur wo hamare paas yahan aaye thay
.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain