الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الْمُحْصَرِ
The Book of Al-Muhsar
بَابُ مَنْ قَالَ لَيْسَ عَلَى الْمُحْصَرِ بَدَلٌ:
Chapter. Whoever said that the Muhsar is not supposed to perform Umm or Hajj in lieu of the prevented one.
Show diacritics
Hadith Number: Q1813
وقال روح: عن شبل، عن ابن ابي نجيح، عن مجاهد، عن ابن عباس رضي الله عنه،" إنما البدل على من نقض حجه بالتلذذ، فاما من حبسه عذر، او غير ذلك، فإنه يحل ولا يرجع، وإن كان معه هدي وهو محصر نحره، إن كان لا يستطيع ان يبعث به، وإن استطاع ان يبعث به لم يحل حتى يبلغ الهدي محله". وقال مالك، وغيره: ينحر هديه ويحلق في اي موضع كان، ولا قضاء عليه، لان النبي صلى الله عليه وسلم واصحابه بالحديبية نحروا، وحلقوا، وحلوا من كل شيء قبل الطواف، وقبل ان يصل الهدي إلى البيت، ثم لم يذكر ان النبي صلى الله عليه وسلم امر احدا ان يقضوا شيئا، ولا يعودوا له، والحديبية خارج من الحرم.
Aur Rooh ne kaha, un se Shibl Bin Iyad ne, un se Ibn Abi Najeeh ne, un se Mujahid ne aur un se Ibn Abbas (Radi Allahu Anhuma) ne ke qaza is surat mein wajib hoti hai jab koi Hajj mein apni biwi se jima kar ke niyat-e-Hajj ko tod dale lekin koi aur uzr pesh aa gaya ya is ke ilawa koi baat hui to wo halal hota hai, qaza is par zaroori nahi aur agar sath qurbani ka janwar tha aur wo muhsar hua aur haram mein usay na bhej saka to usay nahr kar de, (jahan par bhi qayam ho) ye is surat mein jab qurbani ka janwar (qurbani ki jagah) Haram Shareef mein bhejne ki usay taqat na ho lekin agar is ki taqat hai to jab tak qurbani wahan zabah na ho jaye ihram nahi khol sakta. Imam Malik waghera ne kaha ke (muhsar) khwah kahin bhi ho apni qurbani wahin nahr kar de aur sar munda le. Is par qaza bhi lazim nahi kyunke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) aur Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke ashab Rizwanullahi Alaihim ne Hudaibiyah mein baghair tawaf aur baghair qurbani ke Baitullah tak pohanche hue nahr kiya aur sar mundaya aur wo har cheez se halal ho gaye, phir kisi ne zikr nahi kiya ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne kisi ko bhi qaza ka ya kisi bhi cheez ke dohrane ka hukm diya ho aur Hudaibiyah hadd-e-Haram se bahar hai
.


Show diacritics
Hadith Number: 1813
حدثنا إسماعيل، قال: حدثني مالك، عن نافع، ان عبد الله بن عمر رضي الله عنه، قال:" حين خرج إلى مكة معتمرا في الفتنة، إن صددت عن البيت صنعنا كما صنعنا مع رسول الله صلى الله عليه وسلم، فاهل بعمرة من اجل ان النبي صلى الله عليه وسلم، كان اهل بعمرة عام الحديبية، ثم إن عبد الله بن عمر نظر في امره، فقال: ما امرهما إلا واحد، فالتفت إلى اصحابه، فقال: ما امرهما إلا واحد، اشهدكم اني قد اوجبت الحج مع العمرة، ثم طاف لهما طوافا واحدا، وراى ان ذلك مجزيا عنه واهدى".
Hum se Ismail ne bayan kiya, unhon ne kaha ke mujh se Imam Malik ne bayan kiya, un se Nafi ne bayan kiya ke fitna ke zamana mein jab Abdullah Bin Umar (Radi Allahu Anhuma) Makkah ke irade se chale to farmaya ke agar mujhe Baitullah tak pohanche se rok diya gaya to mein bhi wahi kaam karoon ga jo (Hudaibiyah ke saal) mein ne Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke sath kiya tha. Aap ne Umrah ka ihram bandha kyunke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne bhi Hudaibiyah ke saal Umrah hi ka ihram bandha tha. Phir Aap ne kuch ghaur kar ke farmaya ke Umrah aur Hajj to ek hi hai, is ke baad apne sathiyon se bhi yehi farmaya ke ye donon to ek hi hain. Mein tumhein gawah banata hoon ke Umrah ke sath ab Hajj bhi apne liye mein ne wajib qarar diye liya hai phir (Makkah pohanch kar) Aap ne donon ke liye ek hi tawaf kiya. Aap ka khayal tha ke ye kafi hai aur Aap qurbani ka janwar bhi sath le gaye thay
.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain