الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الْحَجِّ
The Book of Hajj
بَابُ قَوْلِ اللَّهِ تَعَالَى: {جَعَلَ اللَّهُ الْكَعْبَةَ الْبَيْتَ الْحَرَامَ قِيَامًا لِلنَّاسِ وَالشَّهْرَ الْحَرَامَ وَالْهَدْيَ وَالْقَلاَئِدَ ذَلِكَ لِتَعْلَمُوا أَنَّ اللَّهَ يَعْلَمُ مَا فِي السَّمَوَاتِ وَمَا فِي الأَرْضِ وَأَنَّ اللَّهَ بِكُلِّ شَيْءٍ عَلِيمٌ}:
Chapter. The Statement of Allah:
Show diacritics
Hadith Number: 1591
حدثنا علي بن عبد الله، حدثنا سفيان، حدثنا زياد بن سعد، عن الزهري، عن سعيد بن المسيب، عن ابي هريرة رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" يخرب الكعبة ذو السويقتين من الحبشة".
Hum se Ali bin Abdullah Madini ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Sufyan bin Uyaynah ne byaan kiya , unhon ne kaha hum se Ziyad bin Saad ne byaan kiya , un se Zuhri ne byaan kiya , un se Saeed bin Musayyab ne byaan kiya aur un se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke ”Kaaba ko do patli pindliyon wala ek haqueer Habshi tabah kar de ga .“


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 1592
حدثنا يحيى بن بكير، حدثنا الليث، عن عقيل، عن ابن شهاب , عن عروة، عن عائشة رضي الله عنها. ح وحدثني محمد بن مقاتل، قال: اخبرني عبد الله هو ابن المبارك، قال: اخبرنا محمد بن ابي حفصة، عن الزهري، عن عروة، عن عائشة رضي الله عنها، قالت:" كانوا يصومون عاشوراء قبل ان يفرض رمضان، وكان يوما تستر فيه الكعبة، فلما فرض الله رمضان، قال رسول الله صلى الله عليه وسلم: من شاء ان يصومه فليصمه، ومن شاء ان يتركه فليتركه".
Hum se Yahya bin Bukair ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Layth ne byaan kiya , un se Aqeel ne , un se Ibn Shihab ne , un se Urwah ne aur un se Aisha razi Allahu anha ne byaan kiya (doosri sanad Imam Bukhari rahmahu Allah ne kaha) aur mujh se Muhammad bin Muqatil ne byaan kiya , unhon ne kaha ke mujh se Abdullah bin Mubarak ne khabar di , unhon ne kaha ke humein Muhammad bin Abi Hafsah ne khabar di , unhein Zuhri ne , unhein Urwah ne aur un se Umm-ul-Moomineen Aisha razi Allahu anha ne byaan farmaya ke Ramzan (ke roze) farz hone se pehle musalman Ashura ka roza rakhte thay . Ashura hi ke din (jahiliyat mein) Kaaba par ghilaf charhaya jata tha . Phir jab Allah Ta'ala ne Ramzan farz kar diya to Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne logon se farmaya ke ”Ab jis ka jee chahe Ashura ka roza rakhe aur jis ka jee chahe chhor de .“


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 1593
حدثنا احمد، حدثنا ابي، حدثنا إبراهيم، عن الحجاج بن حجاج، عن قتادة، عن عبد الله بن ابي عتبة، عن ابي سعيد الخدري رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" ليحجن البيت وليعتمرن بعد خروج ياجوج وماجوج" , تابعه ابان، وعمران، عن قتادة، وقال عبد الرحمن: عن شعبة، قال:" لا تقوم الساعة حتى لا يحج البيت والاول اكثر"، سمع قتادة عبد الله، وعبد الله ابا سعيد.
Hum se Ahmad bin Hafs ne byaan kiya , kaha ke hum se mere walid ne byaan kiya , kaha ke hum se Ibrahim bin Tahman ne byaan kiya , un se Hajjaj bin Hajjaj Aslami ne , un se Qatada ne , un se Abdullah bin Abi Utbah ne aur un se Abu Saeed Khudri razi Allahu anhu ne aur un se Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya Baitullah ka Hajj aur Umrah Yajooj aur Majooj ke nikalne ke baad bhi hota rahe ga . Abdullah bin Abi Utbah ke saath is hadees ko Aban aur Imran ne Qatada se riwayat kiya aur Abdul Rahman ne Shubah ke wasta se yun byaan kiya ke Qayamat is waqt tak qaim nahi ho gi jab tak Baitullah ka Hajj band na ho jaye . Imam Bukhari rahmahu Allah ne kaha ke pehli riwayat zyada rawiyon ne ki hai aur Qatada ne Abdullah bin Utbah se suna aur Abdullah ne Abu Saeed Khudri razi Allahu anhu se suna .


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain