الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب تفسير القرآن
Kitab: Quran Paak ki tafseer ke bayan mein
سورة الحجرات:
Bab: Surah Al-Hujurat ki tafseer.
Hadith Number: Q4845-2
وقال مجاهد: لا تقدموا: لا تفتاتوا على رسول الله صلى الله عليه وسلم حتى يقضي الله على لسانه، امتحن: اخلص، ولا تنابزوا: يدعى بالكفر بعد الإسلام، يلتكم: ينقصكم التنا نقصنا.
Mujahid ne kaha «la tuqaddimoo» ka matlab yeh hai ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke samne barh kar baatein na karo . (balkay adab se «qaalallahu wa qaalar-rasoolu» suna karo) yahan tak ke jo hukm Allah ko dena hai woh apne Rasool ki zaban se tumhein pahunchaye . «imtahana» ka maani saaf kiya , parakh liya . «la tanaabazhu bil-alqaabi» ka maani yeh hai ke Musalman hone ke baad phir is ko kafir , Yahudi ya Esaayi keh kar na pukaro . «la yalitkum» tumhara sawab kuch kam nahi kare ga Surah at-Toor mein «wa ma alatnaahum» is liye hai ke hum ne un ke amal ka sawab kuch kam nahi kiya .
Hadith Number: 3467
حدثنا سعيد بن تليد، حدثنا ابن وهب، قال: اخبرني جرير بن حازم، عن ايوب، عن محمد بن سيرين، عن ابي هريرة رضي الله عنه، قال: قال النبي صلى الله عليه وسلم:" بينما كلب يطيف بركية كاد يقتله العطش إذ راته بغي من بغايا بني إسرائيل فنزعت موقها فسقته فغفر لها به".
Hum se Saeed Bin Talid ne bayan kiya, kaha hum se Ibn Wahb ne bayan kiya, kaha ke mujhe Jarir Bin Hazim ne khabar di, unhein Ayub ne aur unhein Muhammad Bin Sireen ne aur un se Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne bayan farmaya "Ek kutta ek kunvein ke charon taraf chakkar kaat raha tha jaise pyas ki shiddat se is ki jaan nikal jane wali ho ke Bani Israel ki ek zaniya aurat ne ise dekh liya. Is aurat ne apna mouza utar kar kutte ko pani pilaya aur is ki maghfirat isi amal ki wajah se ho gayi
."
."
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة