الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الصوم
Kitab: Rozay ke masail ka bayan
باب حق الأهل فى الصوم:
Bab: Roza mein biwi aur baal bachon ka haq.
Hadith Number: Q1977
رواه ابو جحيفة، عن النبي صلى الله عليه وسلم.
Is ko Abu Hujayfa Wahb Bin Abdullah (Radi Allahu Anhu) ne Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) se naqal kiya hai
.
.
Hadith Number: 1131
حدثنا علي بن عبد الله , قال: حدثنا سفيان , قال: حدثنا عمرو بن دينار، ان عمرو بن اوس اخبره، ان عبد الله بن عمرو بن العاص رضي الله عنهما اخبره، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم قال له:" احب الصلاة إلى الله صلاة داود عليه السلام، واحب الصيام إلى الله صيام داود، وكان ينام نصف الليل ويقوم ثلثه وينام سدسه، ويصوم يوما ويفطر يوما".
Hum se Ali bin Abdullah ne byaan kiya , kaha ke hum se Sufyan bin Uyaynah ne byaan kiya , kaha ke hum se Amr bin Dinar ne byaan kiya ke Amr bin Aws ne unhein khabar di aur unhein Abdullah bin Amr bin Al-Aas razi Allahu anhuma ne khabar di ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne un se farmaya ke sab namazon mein Allah Ta'ala ke nazdeek pasandida namaaz Daud alaihis salam ki namaaz hai aur rozon mein bhi Daud alaihis salam hi ka roza . Aap aadhi raat tak sote , is ke baad tihayi raat namaaz parhne mein guzarte . Phir raat ke chhattay hisse mein bhi so jaate . Isi tarah Aap ek din roza rakhte aur ek din iftar karte thay .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة