الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب العلم
Kitab: Ilm ke bayan mein
باب الحرص على الحديث:
Bab: Ilm-e-hadith haasil karne ki hirs ke bare mein.
Hadith Number: 99
حدثنا عبد العزيز بن عبد الله، قال: حدثني سليمان، عن عمرو بن ابي عمرو، عن سعيد بن ابي سعيد المقبري، عن ابي هريرة، انه قال: قيل يا رسول الله، من اسعد الناس بشفاعتك يوم القيامة، قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" لقد ظننت يا ابا هريرة، ان لا يسالني عن هذا الحديث احد اول منك لما رايت من حرصك على الحديث، اسعد الناس بشفاعتي يوم القيامة، من قال لا إله إلا الله خالصا من قلبه او نفسه".
Hum se Abdul ’Aziz bin Abdullah ne bayan kiya, unhon ne kaha mujh se Sulaiman ne ’Amr bin Abi ’Amr ke waaste se bayan kiya. Woh Sa’eed bin Abi Sa’eed Al-Maqburi ke waaste se bayan karte hain, woh Abu Hurairah Radhiallahu Anhu se riwayat karte hain ke unhon ne arz kiya, ya RasoolAllah! qiyamat ke din Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ki sifarish se sab se ziyada sa’adat kise milegi? To Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya, aye Abu Hurairah Radhiallahu Anhu mujhe yaqeen tha ke tum se pehle koi is ke baare mein mujh se daryaaft nahi karega. Kiunki main ne Hadees ke mutalliq tumhaari hirs dekh li thi. Suno! Qiyamat main sab se ziyada faiz-e-yaab meri sifarish se woh shakhs hoga, jo sachche dil se ya sachche ji se «لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ» kahega.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6570
حدثنا قتيبة بن سعيد، حدثنا إسماعيل بن جعفر، عن عمرو، عن سعيد بن ابي سعيد المقبري، عن ابي هريرة رضي الله عنه، انه قال: قلت: يا رسول الله، من اسعد الناس بشفاعتك يوم القيامة؟ فقال:" لقد ظننت يا ابا هريرة ان لا يسالني عن هذا الحديث احد اول منك، لما رايت من حرصك على الحديث، اسعد الناس بشفاعتي يوم القيامة: من قال: لا إله إلا الله خالصا من قبل نفسه".
Hum se Qutaybah bin Saeed ne bayan kiya , unhon ne kaha hum se Ismail bin Jafar ne bayan kiya , in se Amr ne bayan kiya , in se Saeed bin Abi Saeed Muqbiri ne bayan kiya , in se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne bayan kiya ke main ne Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam se arz kiya: ya Rasool Allah! Qayamat ke din Aap ki shafa'at ki sa'adat sab se zyada kaun haasil kare ga ? Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Ae Abu Hurairah! Mera bhi khayal tha ke yeh hadees tum se pehle aur koi mujh se nahi poochhe ga , kyunke hadees ke lene ke liye main tumhari bahut zyada hirs dekha karta hoon . Qayamat ke din meri shafa'at ki sa'adat sab se zyada usay haasil ho gi jis ne kalma «laa ilaaha illallaahu» khuloos e dil se kaha .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة