الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب العيدين
Kitab: Eidein ke masail ke bayan mein
باب إذا فاته العيد يصلي ركعتين:
Bab: Agar kisi ko jama’at se eid ki namaz na mile to phir do rak’at parh le.
Show diacritics
Hadith Number: 987
حدثنا يحيى بن بكير، قال: حدثنا الليث، عن عقيل، عن ابن شهاب، عن عروة، عن عائشة،" ان ابا بكر رضي الله عنه دخل عليها وعندها جاريتان في ايام منى تدففان وتضربان والنبي صلى الله عليه وسلم متغش بثوبه، فانتهرهما ابو بكر فكشف النبي صلى الله عليه وسلم عن وجهه، فقال: دعهما يا ابا بكر، فإنها ايام عيد وتلك الايام ايام منى.
Hum se Yahya bin Bukayr ne byaan kiya , kaha ke in se Layth bin Saad ne byaan kiya , in se Aqeel ne , in se Ibn Shihab ne , in se Urwah ne , in se Aisha razi Allahu anha ne kaha Abu Bakr razi Allahu anhu in ke yahan (Mina ke dinon mein) tashreef laaye is waqt ghar mein do larki'an daf baja rahi theen aur Bu'as ki larayi ki nazmein ga rahi theen . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam chehra mubarak par kapra daale hue tashreef farma thay . Abu Bakr razi Allahu anhu ne in dono ko danta . Is par Aap salla Allahu alaihi wasallam ne chehra mubarak se kapra hata kar farmaya ke Abu Bakr jaane bhi do yeh Eid ke din hain (aur woh bhi Mina mein) .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 454
حدثنا عبد العزيز بن عبد الله، قال: حدثنا إبراهيم بن سعد، عن صالح، عن ابن شهاب، قال: اخبرني عروة بن الزبير، ان عائشة، قالت:" لقد رايت رسول الله صلى الله عليه وسلم يوما على باب حجرتي والحبشة يلعبون في المسجد، ورسول الله صلى الله عليه وسلم يسترني بردائه، انظر إلى لعبهم".
Hum se Abdul Aziz bin Abdullah ne bayan kiya , unhon ne kaha hum se Ibrahim bin Saad ne bayan kiya , unhon ne kaha hum se Saleh bin Kaisan ne bayan kiya , unhon ne kaha hum se Ibn Shihab ne bayan kiya , unhon ne kaha ke mujhe Urwah bin Zubair ne khabar di ke Aisha raziyallahu anha ne kaha mein ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam ko ek din apne hijra ke darwaze par dekha . Is waqt Habsha ke kuch log masjid mein neezo se khel rahe thay hathiyar chalane ki mashq kar rahe thay Rasool Allah salla Allahu alaihi wa sallam ne mujhe apni chadar mein chhupa liya taake mein un ka khel dekh sakun .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة