الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب العيدين
Kitab: Eidein ke masail ke bayan mein
باب الحراب والدرق يوم العيد:
Bab: Eid ke din barchhiyon aur dhalon se khelna.
Show diacritics
Hadith Number: 950
وكان يوم عيد يلعب السودان بالدرق والحراب فإما سالت النبي صلى الله عليه وسلم وإما قال: تشتهين تنظرين فقلت: نعم، فاقامني وراءه خدي على خده وهو يقول: دونكم يا بني ارفدة حتى إذا مللت، قال: حسبك، قلت: نعم، قال: فاذهبي".
Aur yeh Eid ka din tha . Habshah ke kuch log dhalon aur barchhon se khel rahe thay . Ab khud main ne kaha ya Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke kya tum yeh khel dekho gi? Main ne kaha ji haan . Phir Aap salla Allahu alaihi wasallam ne mujhe apne peeche khara kar liya . Mera rukhsar Aap salla Allahu alaihi wasallam ke rukhsar par tha aur Aap salla Allahu alaihi wasallam farma rahe thay khelo khelo ay Bani Arfidah yeh Habshah ke logon ka laqab tha phir jab main thak gayi to Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”bas!“ main ne kaha ji haan . Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke jao .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 454
حدثنا عبد العزيز بن عبد الله، قال: حدثنا إبراهيم بن سعد، عن صالح، عن ابن شهاب، قال: اخبرني عروة بن الزبير، ان عائشة، قالت:" لقد رايت رسول الله صلى الله عليه وسلم يوما على باب حجرتي والحبشة يلعبون في المسجد، ورسول الله صلى الله عليه وسلم يسترني بردائه، انظر إلى لعبهم".
Hum se Abdul Aziz bin Abdullah ne bayan kiya , unhon ne kaha hum se Ibrahim bin Saad ne bayan kiya , unhon ne kaha hum se Saleh bin Kaisan ne bayan kiya , unhon ne kaha hum se Ibn Shihab ne bayan kiya , unhon ne kaha ke mujhe Urwah bin Zubair ne khabar di ke Aisha raziyallahu anha ne kaha mein ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam ko ek din apne hijra ke darwaze par dekha . Is waqt Habsha ke kuch log masjid mein neezo se khel rahe thay hathiyar chalane ki mashq kar rahe thay Rasool Allah salla Allahu alaihi wa sallam ne mujhe apni chadar mein chhupa liya taake mein un ka khel dekh sakun .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة