الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الجمعة
Kitab: Juma ke bayan mein
باب الساعة التى فى يوم الجمعة:
Bab: Jumu’ah ke din woh ghari jis mein dua qubool hoti hai.
Show diacritics
Hadith Number: 935
حدثنا عبد الله بن مسلمة، عن مالك، عن ابي الزناد، عن الاعرج، عن ابي هريرة، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم ذكر يوم الجمعة، فقال فيه:" ساعة لا يوافقها عبد مسلم وهو قائم يصلي يسال الله تعالى شيئا إلا اعطاه إياه واشار بيده يقللها".
Hum se Abdullah bin Muslimah Qanabi ne Imam Malik rahmahu Allah ne byaan kiya , in se Abu az-Zinaad ne , in se Abdur Rahman Aaraj ne , in se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne Juma ke zikr mein aik dafa farmaya ke is din aik aisi ghari aati hai jis mein agar koi musalman banda khara namaaz parh raha ho aur koi cheez Allah Paak se maange to Allah Paak use woh cheez zaroor deta hai . Haath ke isharah se Aap ne batlaya ke woh saat bahut thori si hai .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 5294
حدثنا مسدد، حدثنا بشر بن المفضل، حدثنا سلمة بن علقمة، عن محمد بن سيرين، عن ابي هريرة، قال: قال ابو القاسم صلى الله عليه وسلم:" في الجمعة ساعة لا يوافقها عبد مسلم قائم يصلي، فسال الله خيرا إلا اعطاه"، وقال بيده ووضع انملته على بطن الوسطى والخنصر، قلنا: يزهدها.
Hum se Musaddad ne byaan kiya , in se Bishr bin Mufaddal ne byaan kiya , in se Salamah bin Alqamah ne byaan kiya , in se Muhammad bin Sireen ne aur in se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne byaan kiya ke Abu al-Qasim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Jumu'ah mein ek ghari aaisi aati hai jo Musalman bhi is waqt khara namaz parhe aur Allah se koi khair maange to Allah usay zaroor de ga . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne (is saat ki wazahat karte huay) apne dast e mubarak se isharah kiya aur apni ungliyon ko darmiyani ungli aur chhoti ungli ke beech mein rakkha jis se hum ne samjha ke Aap is saat ko bahut mukhtasar hone ko bata rahe hain .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 5295
وقال الاويسي: حدثنا إبراهيم بن سعد، عن شعبة بن الحجاج، عن هشام بن زيد، عن انس بن مالك، قال:" عدا يهودي في عهد رسول الله صلى الله عليه وسلم على جارية، فاخذ اوضاحا كانت عليها، ورضخ راسها، فاتى بها اهلها رسول الله صلى الله عليه وسلم وهي في آخر رمق وقد اصمتت، فقال لها رسول الله صلى الله عليه وسلم: من قتلك؟ فلان لغير الذي قتلها، فاشارت براسها ان لا، قال: فقال لرجل آخر غير الذي قتلها، فاشارت ان لا، فقال: ففلان لقاتلها، فاشارت ان نعم، فامر به رسول الله صلى الله عليه وسلم، فرضخ راسه بين حجرين".
Aur Owaysi ne byaan kiya , in se Ibrahim bin Saad ne byaan kiya , in se Shubah bin Hajjaj ne , in se Hisham bin Yazid ne , in se Anas bin Malik razi Allahu anhu ne byaan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke zamana mein ek Yahudi ne ek larki par zulm kiya , is ke chaandi ke zewaraat jo woh pehne hui ku chheen liye aur is ka sar kachal diya . Larki ke ghar wale usay Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke paas laye to is ki zindagi ki bas aakhri ghari baqi thi aur woh bol nahi sakti ku . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne is se poocha ke tumhein kis ne maara hai ? Falan ne ? Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne is waqia se ghair-mutaalliq aadmi ka naam liya . Is liye us ne apne sar ke isharay se kaha ke nahi . Byaan kiya ke phir Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne ek doosre shakhs ka naam liya aur woh bhi is waqia se ghair-mutaalliq thu to larki ne sar ke isharay se kaha ke nahi , phir Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne daryaft farmaya ke falan ne tumhein maara hai ? To is larki ne sar ke isharay se haan kaha .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 6400
حدثنا مسدد، حدثنا إسماعيل بن إبراهيم، اخبرنا ايوب، عن محمد، عن ابي هريرة رضي الله عنه، قال: قال ابو القاسم صلى الله عليه وسلم:" في يوم الجمعة ساعة لا يوافقها مسلم وهو قائم يصلي يسال الله خيرا، إلا اعطاه"، وقال بيده، قلنا: يقللها يزهدها.
Hum se Musaddad ne bayan kiya, kaha hum se Ismail bin Ibrahim ne, unhein Ayub ne khabar di, unhein Muhammad ne aur in se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Abu al-Qasim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Jumu'ah ke din ek aaisi ghari aati hai jis mein agar koi Musalman is haal mein pa le ke woh khada namaz parh raha ho to jo bhalayi bhi woh maange ga Allah inayat farmaye ga aur Aap ne apne hath se isharah farmaya aur hum ne is se yeh samjha ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam is ghari ke mukhtasar hone ki taraf isharah kar rahe hain.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة