الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الجمعة
Kitab: Juma ke bayan mein
باب هل على من لم يشهد الجمعة غسل من النساء والصبيان وغيرهم:
Bab: Jo log jumu’ah ki namaz ke liye na aayen jaisa ke auraten, bache, musafir aur ma’zoor waghera un par ghusl wajib nahi hai.
Hadith Number: 896
حدثنا مسلم بن إبراهيم، قال: حدثنا وهيب، قال: حدثنا ابن طاوس، عن ابيه، عن ابي هريرة، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" نحن الآخرون السابقون يوم القيامة اوتوا الكتاب من قبلنا واوتيناه من بعدهم، فهذا اليوم الذي اختلفوا فيه فهدانا الله فغدا لليهود وبعد غد للنصارى، فسكت.
Hum se Muslim bin Ibrahim ne byaan kiya , kaha ke hum se Wuhaib bin Khalid ne byaan kiya , kaha ke hum se Abdullah bin Taus ne byaan kiya , un se un ke baap Taus ne , un se Abu Hurayrah razi Allahu anhu ne ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya hum (dunya mein) to baad mein aye lekin qiyamat ke din sab se aage hon ge , farq sirf yeh hai ke Yahood o Nasara ko kitaab hum se pehle di gayi aur hamein baad mein . To yeh din (juma) woh hai jis ke bare mein ahl kitaab ne ikhtilaaf kiya , Allah Taala ne hamein yeh din batla diya (is ke baad) doosra din (haftah) Yahood ka din hai aur teesra din (itwar) Nasara ka . Aap phir khamosh ho gaye .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 238
حدثنا ابو اليمان، قال: اخبرنا شعيب، قال: اخبرنا ابو الزناد، ان عبد الرحمن بن هرمز الاعرج حدثه، انه سمع ابا هريرة، انه سمع رسول الله صلى الله عليه وسلم يقول:" نحن الآخرون السابقون".
Hum se Abul Yamaan bayan kiya, kaha hum ko Sho’aib ne khabar di, kaha mujhe Abuz Zinaad ne khabar di ke un se Abdur Rahman bin Hurmuz Al-A’raj ne bayan kiya, unhon ne Abu Hurairah Radhiallahu Anhu se suna, unhon ne Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam se suna, Aap Sallallahu Alaihi Wasallam farmaate the ke hum (log) duniya mein pichle zamaane mein aaye hain (magar aakhirat mein) sab se aage hain.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة