الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الجمعة
Kitab: Juma ke bayan mein
باب الجمعة فى القرى والمدن:
Bab: Gaon aur shehr dono jagah jumu’ah durust hai.
Hadith Number: 892
حدثنا محمد بن المثنى، قال: حدثنا ابو عامر العقدي، قال: حدثنا إبراهيم بن طهمان، عن ابي جمرة الضبعي، عن ابن عباس، انه قال:" إن اول جمعة جمعت بعد جمعة في مسجد رسول الله صلى الله عليه وسلم في مسجد عبد القيس بجواثى من البحرين".
Hum se Muhammad bin Muthanna ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Abu Aamir Aqdi ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Ibrahim bin Tahman ne byaan kiya , un se Abu Jamrah Nazr bin Abdur Rahman Dubayi ne , un se Abdullah bin Abbas razi Allahu anhuma ne , Aap ne farmaya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki masjid ke baad sab se pehla juma Bano Abdul Qays ki masjid mein hua jo Bahrain ke mulk Jawathi mein thi .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 4371
حدثني عبد الله بن محمد الجعفي، حدثنا ابو عامر عبد الملك، حدثنا إبراهيم هو ابن طهمان، عن ابي جمرة، عن ابن عباس رضي الله عنهما، قال:" اول جمعة جمعت بعد جمعة جمعت في مسجد رسول الله صلى الله عليه وسلم في مسجد عبد القيس بجواثى" يعني قرية من البحرين.
Mujh se Abdullah bin Muhammad al-Jafi ne byaan kiya , kaha hum se Abu Aamir Abdul Malik ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Ibrahim ne byaan kiya , (yeh Tahman ke bete hain .) un se Abu Jamrah ne byaan kiya aur un se Abdullah bin Abbas razi Allahu anhuma ne byaan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ki masjid yani Masjid e Nabwi ke baad sab se pehla Juma Juwasa ki masjid Abdul Qays mein qaim hua . Juwasa Bahrayn ka ek gaon tha .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة