الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الأذان (صفة الصلوة)
Kitab: Azan ke masail ke bayan mein (Sifat-us-Salat)
باب يستقبل الإمام الناس إذا سلم:
Bab: Imam jab salam pher chuke to logon ki taraf munh kare.
Show diacritics
Hadith Number: 847
حدثنا عبد الله بن منير، سمع يزيد، قال: اخبرنا حميد، عن انس، قال: اخر رسول الله صلى الله عليه وسلم الصلاة ذات ليلة إلى شطر الليل، ثم خرج علينا فلما صلى اقبل علينا بوجهه، فقال:" إن الناس قد صلوا ورقدوا، وإنكم لن تزالوا في صلاة ما انتظرتم الصلاة".
Hum se Abdullah bin Munir ne byaan kiya , unhon ne Yazid bin Haroon se suna , unhein Humayd Zayli ne khabar di , aur unhein Anas bin Malik razi Allahu anhu ne ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne ek raat (Isha ki) namaaz mein der farmayi taqreeban aadhi raat tak . Phir aakhir hijray se bahar tashreef laye aur namaaz ke baad hamari taraf munh kiya aur farmaya ke doosre log namaaz parh kar so chuke lekin tum log jab tak namaaz ka intizaar karte rahe goya ke namaaz mein rahe (yani tum ko namaaz ka sawab milta raha) .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 572
حدثنا عبد الرحيم المحاربي، قال: حدثنا زائدة، عن حميد الطويل، عن انس، قال:" اخر النبي صلى الله عليه وسلم صلاة العشاء إلى نصف الليل، ثم صلى، ثم قال: قد صلى الناس وناموا، اما إنكم في صلاة ما انتظرتموها"، وزاد ابن ابي مريم اخبرنا يحيى بن ايوب، حدثني حميد، سمع انسا كاني انظر إلى وبيص خاتمه ليلتئذ.
Hum se Abdur Raheem Muharibi ne bayan kiya , kaha hum se Zaida ne Humaid Taweel se , unhon ne Anas raziyallahu anhu se ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam ne ek din isha ki namaz aadhi raat gaye parhi . Aur farmaya ke doosre log namaz parh kar so gaye honge . Yani doosri masajid mein parhne wale musalman aur tum log jab tak namaz ka intizar karte rahe goya sare waqt namaz hi parhte rahe . Ibn Maryam ne is mein yeh zyada kiya ke humein Yahya bin Ayyub ne khabar di . Kaha mujh se Humaid Taweel ne bayan kiya , unhon ne Anas raziyallahu anhu se yeh suna , goya is raat aap ki anguthi ki chamak ka naqsha is waqt bhi meri nazron ke samne chamak raha hai .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة