الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الأذان (صفة الصلوة)
Kitab: Azan ke masail ke bayan mein (Sifat-us-Salat)
باب من لم يمسح جبهته وأنفه حتى صلى:
Bab: Agar namaz mein peshani ya naak se mitti lag jaye to na ponchhe jab tak namaz se farigh na ho.
Hadith Number: 836
حدثنا مسلم بن إبراهيم، قال: حدثنا هشام، عن يحيى، عن ابي سلمة، قال: سالت ابا سعيد الخدري، فقال:" رايت رسول الله صلى الله عليه وسلم يسجد في الماء والطين حتى رايت اثر الطين في جبهته".
Hum se Muslim bin Ibrahim ne byaan kiya , kaha ke hum se Hisham Dastuwai ne Yahya bin Abi Kathir se byaan kiya un se Abu Salamah bin Abdur Rahman ne unhon ne kaha ke main ne Abu Saeed Khudri razi Allahu anhu se darkhwast kiya to Aap ne batlaya ke main ne Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ko keechad mein sajda karte huay dekha . Mitti ka asar Aap salla Allahu alaihi wasallam ki peshani par saaf zahir tha .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 669
حدثنا مسلم بن إبراهيم، قال: حدثنا هشام، عن يحيى، عن ابي سلمة، قال: سالت ابا سعيد الخدري فقال: جاءت سحابة فمطرت حتى سال السقف، وكان من جريد النخل، فاقيمت الصلاة" فرايت رسول الله صلى الله عليه وسلم يسجد في الماء والطين حتى رايت اثر الطين في جبهته".
Hum se Muslim bin Ibrahim ne byaan kiya , kaha ke hum se Hisham Dastuwai ne Yahya bin Kathir se byaan kiya , unhon ne Abu Salama bin Abdur Rahman se , unhon ne kaha ke main ne Abu Saeed Khudri razi Allahu anhu se (shab qadr ko) poocha . Aap ne farmaya ke baadal ka ek tukra aaya aur barsa yahan tak ke (masjid ki chhat) tapakne lagi jo khajoor ki shaakhon se banayi gayi thi . Phir namaaz ke liye takbeer hui . Main ne dekha ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam keechad aur paani mein sajda kar rahe thay . Keechad ka nishaan Aap ki peshani par bhi main ne dekha .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة